aids
havas kā khel bhī kitnā masarrat-ḳhez hotā hai
ki us ke khelne vaale
ye aksar bhuul jaate haiñ
badan meñ jab
badan kī lazzateñ ġharqāb hotī haiñ
to un ke saath
ik aisī tabāhī jism meñ
tahlīl ho jaatī hai
jis kā umr-bhar koī
izāla ho nahīñ saktā
hawas ka khel bhi kitna masarrat-KHez hota hai
ki us ke khelne wale
ye aksar bhul jate hain
badan mein jab
badan ki lazzaten gharqab hoti hain
to un ke sath
ek aisi tabahi jism mein
tahlil ho jati hai
jis ka umr-bhar koi
izala ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.