ainak ke shishe par
ainak ke shīshe par saraktī chyūñTī
aage ke paañv uupar havā meñ uThā kar
pichhle paañv par khaḌī
hinhinātī hai ghoḌe kī tarah
ainak ke nīche dabe aḳhbār meñ
do havā.ī jahāz Takrā jaate haiñ
musāfiroñ se ladī ik kashtī ulaT jaatī hai
ek bas khaa.ī meñ gir paḌtī hai
pāñch būḌhe faqīr sardī se mar jaate haiñ
koila-kān meñ paanī bhar jaatā hai
radio pukārtā hai pachchīs paise meñ tiin
ainak kā shīsha saaf kartī chyūñTī
āhista se aage baḌh jaatī hai
ainak ke shishe par sarakti chyunTi
aage ke panw upar hawa mein uTha kar
pichhle panw par khaDi
hinhinati hai ghoDe ki tarah
ainak ke niche dabe aKHbar mein
do hawai jahaz Takra jate hain
musafiron se ladi ek kashti ulaT jati hai
ek bas khai mein gir paDti hai
panch buDhe faqir sardi se mar jate hain
koila-kan mein pani bhar jata hai
radio pukarta hai pachchis paise mein tin
ainak ka shisha saf karti chyunTi
aahista se aage baDh jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.