aisa ho ki na-mauud ho
vo ġhanī saa.at ki ham
shākī na hoñ
yā yuuñ kaheñ ḳhākī na hoñ
sad-haif aflākī na hoñ
kaash us ġhanī saa.at meñ
ik kār-e-ġhanīmat aisā ho
miTTī badan kī
ruuh kī tahzīb se hamvār ho
bedār ho
ye naqsh-pā-e-raftagāñ
raushan misāl-e-kahkashāñ
sab ruuh kī tahzīb se bedār
miTTī kī numū hai
aks-e-hū hai
ruuh kī tahzīb
yā ik silsila jis meñ adam ko hai sabāt
(ahl-e-zamīñ
ik na.ara 'dīvāne kī bāt')
aur is adam se tā-sabāt ik baar
aisā ho ki nā-mau.ūd ho
ya.anī ḳhudā maujūd ho
ḳhākī faqat ḳhākī ho aflākī na ho
aur koī bhī shākī na ho
wo ghani saat ki hum
shaki na hon
ya yun kahen KHaki na hon
sad-haif aflaki na hon
kash us ghani saat mein
ek kar-e-ghanimat aisa ho
miTTi badan ki
ruh ki tahzib se hamwar ho
bedar ho
ye naqsh-pa-e-raftagan
raushan misal-e-kahkashan
sab ruh ki tahzib se bedar
miTTi ki numu hai
aks-e-hu hai
ruh ki tahzib
ya ek silsila jis mein adam ko hai sabaat
(ahl-e-zamin
ek nara 'diwane ki baat')
aur is adam se ta-sabaat ek bar
aisa ho ki na-mauud ho
yani KHuda maujud ho
KHaki faqat KHaki ho aflaki na ho
aur koi bhi shaki na ho
- Book : Na Mau'ud (Pg. 57)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.