aisa karo
dhuup kī ainak lagāo ghar se jab niklā karo
sāñvle ho jaao lekin is kī mat parvā karo
halkī-phulkī bādbānī jarsiyāñ pahnā karo
chāshnī Dalvā ke gole barf ke chūsā karo
chārpā.ī Daal kar dālān meñ soyā karo
so raho yā leTe-leTe chāñd ko dekhā karo
nāriyal paanī piyo pañkhā jhalo aḳhbār se
kyoñ ḳhafā hote ho pyāre baat ko samjhā karo
koī jañgal koī vaadī koī maskan DhūñD lo
chhuTTiyoñ ke din haiñ 'tāriq' mahfileñ barpā karo
dhup ki ainak lagao ghar se jab nikla karo
sanwle ho jao lekin is ki mat parwa karo
halki-phulki baadbani jarsiyan pahna karo
chashni Dalwa ke gole barf ke chusa karo
chaarpai Dal kar dalan mein soya karo
so raho ya leTe-leTe chand ko dekha karo
nariyal pani piyo pankha jhalo aKHbar se
kyon KHafa hote ho pyare baat ko samjha karo
koi jangal koi wadi koi maskan DhunD lo
chhuTTiyon ke din hain 'tariq' mahfilen barpa karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.