aisa kyon hai
mālik mere
bhārī patthar Dhone vaale
bhūke pyāse sone vaale
chupke chupke rone vaale
Darte Darte jiine vaale
tere hī bande haiñ yā phir un kā koī aur ḳhudā hai
mālik mere
aisā kyoñ hai
ik jannat ke va.ade par tū
pal pal dozaḳh meñ rakhtā hai
aisā kyoñ hai
ik roTī kī ḳhātir banda
sab kuchh girvī rakh detā hai
aur ik banda
sab kuchh girvī rakh letā hai
mālik mere
dhartī par tū ne bhejā thā
dhāteñ patthar peḌ parinde
tū ne mere baa'd banā.e
lekin ye sab mujh se aage kyoñ rahte haiñ
mujh par bhārī kyoñ paḌte haiñ
malik mere
bhaari patthar Dhone wale
bhuke pyase sone wale
chupke chupke rone wale
Darte Darte jine wale
tere hi bande hain ya phir un ka koi aur KHuda hai
malik mere
aisa kyon hai
ek jannat ke wade par tu
pal pal dozaKH mein rakhta hai
aisa kyon hai
ek roTi ki KHatir banda
sab kuchh girwi rakh deta hai
aur ek banda
sab kuchh girwi rakh leta hai
malik mere
dharti par tu ne bheja tha
dhaten patthar peD parinde
tu ne mere ba'd banae
lekin ye sab mujh se aage kyon rahte hain
mujh par bhaari kyon paDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.