aise nahin hota
bas ik apne tahaffuz ke liye
duniyā ko kitnā be-tahaffuz kar diyā tum ne
ye duniyā vo nahīñ
jo aaj se pahle thī
ye farmān jaarī kar diyā tum ne
magar tum kaun sī duniyā meñ rahte ho
ye duniyā to vahī hai
jis meñ jab chāho
tum apne hukm manvāte ho
tāqat kī zabāñ meñ baat karte ho
tumhāre hukm ko jo mānñe meñ der karte haiñ
tum un ko apnī dahshat se Darāte ho
shikasta haDDiyoñ ko ātishīñ tannūr kā īñdhan banāte ho
jo muflis haiñ unheñ tum aur bhī muflis banāte ho
ye duniyā aaj se pahle bhī
kab mahfūz thī itnī
magar mahfūz the tum apnī dīvāroñ ke andar
aur us dīvār kī ek iiñT
aaj apnī jagah se hil ga.ī hai
sirf ik iiñT
aur qayāmat mach ga.ī hai
zarā sī choT ko
havvā banā rakkhā hai tum ne
āsmāñ sar par uThā rakkhā hai tum ne
hisāb-e-ḳhūñ-bahā ke naam par
duniyā meñ hañgāma machā rakkhā hai tum ne
magar apnā hisāb-e-ḳhūñ-bahā lene se pahle
gino sab hasrateñ jo ḳhuuñ huī haiñ tan ke maqtal meñ
sanam dikhlā.eñge rāh-e-ḳhudā aise nahīñ hotā
jo tum kahte ho sab kuchh ho chukā aise nahīñ hotā
bas ek apne tahaffuz ke liye
duniya ko kitna be-tahaffuz kar diya tum ne
ye duniya wo nahin
jo aaj se pahle thi
ye farman jari kar diya tum ne
magar tum kaun si duniya mein rahte ho
ye duniya to wahi hai
jis mein jab chaho
tum apne hukm manwate ho
taqat ki zaban mein baat karte ho
tumhaare hukm ko jo manne mein der karte hain
tum un ko apni dahshat se Daraate ho
shikasta haDDiyon ko aatishin tannur ka indhan banate ho
jo muflis hain unhen tum aur bhi muflis banate ho
ye duniya aaj se pahle bhi
kab mahfuz thi itni
magar mahfuz the tum apni diwaron ke andar
aur us diwar ki ek inT
aaj apni jagah se hil gai hai
sirf ek inT
aur qayamat mach gai hai
zara si choT ko
hawwa bana rakkha hai tum ne
aasman sar par uTha rakkha hai tum ne
hisab-e-KHun-baha ke nam par
duniya mein hangama macha rakkha hai tum ne
magar apna hisab-e-KHun-baha lene se pahle
gino sab hasraten jo KHun hui hain tan ke maqtal mein
sanam dikhlaenge rah-e-KHuda aise nahin hota
jo tum kahte ho sab kuchh ho chuka aise nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.