ajab mushkil hai meri
mirī duniyā bahut tezī se ḳhālī ho rahī hai
ajab mushkil hai merī
kisī kī aañkh meñ hai kaun sā chehra mirā ye bhuul jaatā huuñ
magar ilzām denā hāfize ko bhī ġhalat hogā
ye mumkin hī nahīñ hai
koī apne saare chehre yaad rakh paa.e
natīja ye
ki har jaate hue lamhe ke ham-rāh
mirī tanhā.ī baḌhtī jā rahī hai
maiñ apnā ek chehra bhūltā huuñ
aur ta.alluq ḳhatm ho jaatā hai koī
meri duniya bahut tezi se KHali ho rahi hai
ajab mushkil hai meri
kisi ki aankh mein hai kaun sa chehra mera ye bhul jata hun
magar ilzam dena hafize ko bhi ghalat hoga
ye mumkin hi nahin hai
koi apne sare chehre yaad rakh pae
natija ye
ki har jate hue lamhe ke ham-rah
meri tanhai baDhti ja rahi hai
main apna ek chehra bhulta hun
aur talluq KHatm ho jata hai koi
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 102)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.