Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib baat

Shahid Mahuli

ajib baat

Shahid Mahuli

MORE BYShahid Mahuli

    ajiib baat huī raat

    ek lamhe meñ

    hazāroñ sadiyoñ ne

    barsoñ ruup dhaar liyā

    har ek saal

    mahīnoñ meñ ho gayā tabdīl

    har ek maah

    dinoñ meñ

    dinoñ se ghanToñ meñ

    har ek ghanTe bhī

    lamhāt meñ badalne lage

    ajiib baat huī phir

    ki ek lamha bhī

    hazāroñ TukḌoñ meñ bikhrā

    phir ek TukḌā jab

    mere vajūd se

    Takrā ke paash paash huā

    mere vajūd se

    niklīñ hazār-hā sadiyāñ

    ajib baat hui raat

    ek lamhe mein

    hazaron sadiyon ne

    barson ka rup dhaar liya

    har ek sal

    mahinon mein ho gaya tabdil

    har ek mah

    dinon mein

    dinon se ghanTon mein

    har ek ghanTe bhi

    lamhat mein badalne lage

    ajib baat hui phir

    ki ek lamha bhi

    hazaron TukDon mein bikhra

    phir ek TukDa jab

    mere wajud se

    Takra ke pash pash hua

    mere wajud se

    niklin hazar-ha sadiyan

    Source :
    • Book : Kahein Kuch Nahein Hota (Pg. 57)
    • Author : Shahid Mahuli
    • Publication : Miaar Publications (2003)
    • Edition : 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now