ajib KHwahishen
manātā mauj gar chūhā maiñ hotā
sahar se shaam tak phirtā hī rahtā
lage jab bhuuk maiñ mīThā churātā
maze se bil meñ baiThā us ko khātā
mohalle ke sabhī bāvarchī-ḳhāne
bulā.eñge mujhe dāvat uḌāne
maze se dāvateñ har ghar meñ khātā
dahī maska milā.ī duudh uḌātā
agar billī chalī aa.e jhapaT kar
to ghus jā.ūñgā maiñ bil dubak kar
manātā mauj gar machhlī maiñ hotā
hamesha tairte paanī meñ rahtā
makāñ hotā mirā paanī ke andar
bahut ujlā bahut achchhā baḌā sundar
maze se ghūmtā dhūmeñ machātā
kabhī maiñ zor se paanī uḌātā
kabhī maiñ meñDakoñ se chheḌ kartā
kabhī maiñ bulbule paanī pe laatā
shikārī gar mujhe lene ko aatā
maiñ paanī kī tahoñ meñ Duub jaatā
manātā mauj gar bandar maiñ hotā
uchhalte kūdte bāġhoñ meñ phirtā
maze se jhūltā peñgeñ lagātā
kabhī maiñ shāḳh par hī gungunātā
agar maalī mujhe āñkheñ dikhātā
jhapaT kar us kī maiñ pagḌī uḌātā
uchakte phāñdte bañgloñ meñ jaatā
maiñ bachchoñ ko satātā muñh chiḌhātā
kitābeñ Topiyāñ baste uḌātā
kisī ke sar pe phir chāñTe jamātā
manātā mauj gar hotā parinda
zamīñ se āsmāñ kī sair kartā
kabhī nīche se maiñ uupar ko aatā
jahāñ ko sho.abde apne dikhātā
maze se ghūmtā phirtā huā maiñ
kabhī Thokar nahīñ khātā fazā meñ
daraḳhtoñ par savere chachahātā
ḳhudā kī hamd maiñ har vaqt gaatā
koī bachcha pakaḌne ko jo aatā
bhalā kab us ke maiñ huuñ haath aatā
manata mauj gar chuha main hota
sahar se sham tak phirta hi rahta
lage jab bhuk main miTha churaata
maze se bil mein baiTha us ko khata
mohalle ke sabhi bawarchi-KHane
bulaenge mujhe dawat uDane
maze se dawaten har ghar mein khata
dahi maska milai dudh uData
agar billi chali aae jhapaT kar
to ghus jaunga main bil dubak kar
manata mauj gar machhli main hota
hamesha tairte pani mein rahta
makan hota mera pani ke andar
bahut ujla bahut achchha baDa sundar
maze se ghumta dhumen machata
kabhi main zor se pani uData
kabhi main meinDakon se chheD karta
kabhi main bulbule pani pe lata
shikari gar mujhe lene ko aata
main pani ki tahon mein Dub jata
manata mauj gar bandar main hota
uchhalte kudte baghon mein phirta
maze se jhulta pengen lagata
kabhi main shaKH par hi gungunata
agar mali mujhe aankhen dikhata
jhapaT kar us ki main pagDi uData
uchakte phandte banglon mein jata
main bachchon ko satata munh chiDhata
kitaben Topiyan baste uData
kisi ke sar pe phir chanTe jamata
manata mauj gar hota parinda
zamin se aasman ki sair karta
kabhi niche se main upar ko aata
jahan ko shoabde apne dikhata
maze se ghumta phirta hua main
kabhi Thokar nahin khata faza mein
daraKHton par sawere chachahata
KHuda ki hamd main har waqt gata
koi bachcha pakaDne ko jo aata
bhala kab us ke main hun hath aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.