ajib laDki
ajiib laḌkī hai vo
ki us ko ḳhudā banāyā to vo ḳhafā hai
chahār jānib
ibādatoñ kā hisār khīñchā
masāfatoñ ke shajar ugaa.e
hirās kī vus.atoñ ko maiñ ne
tilism-e-saut-o-sadā se bāñdhā
havāoñ ko samt-e-āgahī dī
shaboñ ke zaḳhmī kabūtaroñ ko lahū pilāyā
falak pe nīlāhaTeñ bikherīñ
ḳhalā meñ qaus-e-quzah ke rangīn par uḌaa.e
nigāh-o-dil kī fasīl par jism-o-jāñ sajā.e badan ugaa.e
magar vo laḌkī
ḳhudā.ī pā kar bhī muzmahil hai
vo ḳhush nahīñ hai
vo kah rahī thī
ki tum ne mujh ko ḳhudā banāyā
to kyā ye samjhūñ
ki koī mujh se bhī bālā-tar hai
ajib laDki hai wo
ki us ko KHuda banaya to wo KHafa hai
chahaar jaanib
ibaadaton ka hisar khincha
masafaton ke shajar ugae
hiras ki wusaton ko main ne
tilism-e-saut-o-sada se bandha
hawaon ko samt-e-agahi di
shabon ke zaKHmi kabutaron ko lahu pilaya
falak pe nilahaTen bikherin
KHala mein qaus-e-quzah ke rangin par uDae
nigah-o-dil ki fasil par jism-o-jaan sajae badan ugae
magar wo laDki
KHudai pa kar bhi muzmahil hai
wo KHush nahin hai
wo kah rahi thi
ki tum ne mujh ko KHuda banaya
to kya ye samjhun
ki koi mujh se bhi baala-tar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.