ajnabi aasman
jab tū ne
is ajnabī āsmān ko āḳhirī baar
nazar bhar kar dekhā
aur dam toḌ diyā
jab garm suhānī soñdhī sī anjānī
miTTī meñ
tere ḳhuun kī āḳhirī būñdeñ jazb huiiñ
us dam marne vaale jism kā resha resha
ThanDe faulād kī tāqat par
jī bhar ke hañsā thā
jab tu ne
is ajnabi aasman ko aaKHiri bar
nazar bhar kar dekha
aur dam toD diya
jab garm suhani sondhi si anjaani
miTTi mein
tere KHun ki aaKHiri bunden jazb huin
us dam marne wale jism ka resha resha
ThanDe faulad ki taqat par
ji bhar ke hansa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.