Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajnabi aurat

Noon Meem Rashid

ajnabi aurat

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    asia ke dūr-uftāda shabistānoñ meñ bhī

    mere ḳhvāboñ koī rūmāñ nahīñ!

    kaash ik dīvār-e-zulm

    mere un ke darmiyāñ haa.il na ho!

    ye imārāt-e-qadīm

    ye ḳhayābāñ, ye chaman, ye lāla-zār,

    chāñdnī meñ nauha-ḳhvāñ

    ajnabī ke dast-e-ġhārat-gar se haiñ

    zindagī ke in nihāñ-ḳhānoñ meñ bhī

    mere ḳhvāboñ koī rūmāñ nahīñ!

    kaash ik ''dīvār-e-rañg''

    mere un ke darmiyāñ haa.el na ho!

    ye siyah-paikar barahna rāh-rau

    ye gharoñ meñ ḳhūb-sūrat auratoñ zahr-e-ḳhand

    ye guzargāhoñ pe dev-āsā javāñ

    jin āñkhoñ meñ gurisna ārzuoñ lapak

    mushta.il be-bāk mazdūroñ sailāb-e-azīm!

    arz-e-mashriq, ek mub.ham ḳhauf se larzāñ huuñ maiñ

    aaj ham ko jin tamannāoñ hurmat ke sabab

    dushmanoñ sāmnā maġhrib ke maidānoñ meñ hai

    un mashriq meñ nishāñ tak bhī nahīñ!

    asia ke dur-uftada shabistanon mein bhi

    mere KHwabon ka koi ruman nahin!

    kash ek diwar-e-zulm

    mere un ke darmiyan hail na ho!

    ye imaraat-e-qadim

    ye KHayaban, ye chaman, ye lala-zar,

    chandni mein nauha-KHwan

    ajnabi ke dast-e-ghaarat-gar se hain

    zindagi ke in nihan-KHanon mein bhi

    mere KHwabon ka koi ruman nahin!

    kash ek diwar-e-rang

    mere un ke darmiyan hael na ho!

    ye siyah-paikar barahna rah-rau

    ye gharon mein KHub-surat auraton ka zahr-e-KHand

    ye guzargahon pe dew-asa jawan

    jin ki aankhon mein gurisna aarzuon ki lapak

    mushtail be-bak mazduron ka sailab-e-azim!

    arz-e-mashriq, ek mubham KHauf se larzan hun main

    aaj hum ko jin tamannaon ki hurmat ke sabab

    dushmanon ka samna maghrib ke maidanon mein hai

    un ka mashriq mein nishan tak bhi nahin!

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ajnabi aurat Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now