ajnabi farmaish
ajnabī tujh se ta.alluq kā sila ḳhuub hai ye
terī ḳhvāhish hai ki har roz na.ī nazm likhūñ tere naam
merī koshish bhī ajab hai lekin
rose taaza na.e jazbāt kahāñ se lā.ūñ
kore alfāz kī sauġhāt kahāñ se lā.ūñ
ḳhushk āñkhoñ ke kaToroñ se maiñ barsāt kahāñ se lā.ūñ
ajnabī tū hī batā nusḳha-e-nāyāb koī
ajnabī mujh ko dikhā ḳhitta-e-shādāb koī
barg-e-āvāra kī sūrat huuñ havā kī zad par
maiñ ki raqsā huuñ abhī garm bagūloñ ke saath
ajnabī tū bhī mire raqs-e-falak-rañg meñ shāmil ho jā
shā.irī kyā hai mirī jaan kā hāsil ho jā
tū mirā jism qabā tū mirī ruuh kī pur-nūr ġhizā
shahd se mīThī mare lab kī duā
ajnabī kaun hai tū mere sivā mujh se judā
ajnabi tujh se talluq ka sila KHub hai ye
teri KHwahish hai ki har roz nai nazm likhun tere nam
meri koshish bhi ajab hai lekin
rose taza nae jazbaat kahan se laun
kore alfaz ki saughat kahan se laun
KHushk aankhon ke kaToron se main barsat kahan se laun
ajnabi tu hi bata nusKHa-e-nayab koi
ajnabi mujh ko dikha KHitta-e-shadab koi
barg-e-awara ki surat hun hawa ki zad par
main ki raqsa hun abhi garm bagulon ke sath
ajnabi tu bhi mere raqs-e-falak-rang mein shamil ho ja
shairi kya hai meri jaan ka hasil ho ja
tu mera jism qaba tu meri ruh ki pur-nur ghiza
shahd se miThi mare lab ki dua
ajnabi kaun hai tu mere siwa mujh se juda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.