ajnabi jazira
ajnabī jazīre par
kaise aa ga.ī huuñ maiñ
ek pal ko soī thī
aañkh jab khulī merī
ajnabī jazīra thā
ajnabī jazīre par
ik 'ajab udāsī kī dhund chhā.ī rahtī hai
ḳhauf kā añdherā yuuñ sarsarātā phirtā hai
jaise us kī āñtoñ meñ maut chhup ke baiThī hai
ajnabī jazīre par
sard aañkh ko le kar sard jism chalte haiñ
ḳhvāb munjamid ho kar
apnī apnī qabroñ meñ zinda leT jaate haiñ
ajnabī jazīre par
fard Darte phirte haiñ
ajnabī jazīre par sirf ḳhauf ugtā hai
harf apnī hurmat se ḳhud hī chhupte phirte haiñ
ajnabī jazīre par
pāsbāñ nahīñ hote
ḳhauf kī farāvānī qabr ke muqaddar meñ phuul likhtī jaatī hai
go ki us jazīre par phuul ab nahīñ khilte
aur ḳhushbueñ aksar maut kī ġhulāmī meñ tauq pahne phirtī haiñ
giit ke suroñ meñ vo nauhe gaatī phirtī haiñ
is 'ajab jazīre par
ḳhauf kā ye 'ālam hai
qatl hone vaale jism
apne qātiloñ ke saath bandagī sī karte haiñ
qatl ke tanāzur meñ saare vāqa'e rakh kar 'āshiqī sī karte haiñ
kaisī 'āshiqī hai ye
kaisā ye jazīra hai
pāsbāñ se qātil tak
kaun chal ke aayā thā
kis ne sard āñkhoñ se munjamid shabīhoñ ko noch ke nikālā thā
kis ne harf kā mā'nī apnī kokh meñ rakkhe jhuuT se badal Daalā
kis ne phūl-fikroñ ko izn maut kā de kar ḳhār-zār beche haiñ
ajnabī jazīre ke sāhiloñ kī miTTī meñ kitne raaz so.e haiñ
ajnabī jazīre par sirf maut rahtī hai
aur jo bhī rahtā hai maut kī tijārat se 'āshiqī sī kartā hai
ajnabī jazīre par
kaise aa ga.ī huuñ maiñ
ajnabi jazire par
kaise aa gai hun main
ek pal ko soi thi
aankh jab khuli meri
ajnabi jazira tha
ajnabi jazire par
ek 'ajab udasi ki dhund chhai rahti hai
KHauf ka andhera yun sarsaraata phirta hai
jaise us ki aanton mein maut chhup ke baiThi hai
ajnabi jazire par
sard aankh ko le kar sard jism chalte hain
KHwab munjamid ho kar
apni apni qabron mein zinda leT jate hain
ajnabi jazire par
fard Darte phirte hain
ajnabi jazire par sirf KHauf ugta hai
harf apni hurmat se KHud hi chhupte phirte hain
ajnabi jazire par
pasban nahin hote
KHauf ki farawani qabr ke muqaddar mein phul likhti jati hai
go ki us jazire par phul ab nahin khilte
aur KHushbuen aksar maut ki ghulami mein tauq pahne phirti hain
git ke suron mein wo nauhe gati phirti hain
is 'ajab jazire par
KHauf ka ye 'alam hai
qatl hone wale jism
apne qatilon ke sath bandagi si karte hain
qatl ke tanazur mein sare waqa'e rakh kar 'ashiqi si karte hain
kaisi 'ashiqi hai ye
kaisa ye jazira hai
pasban se qatil tak
kaun chal ke aaya tha
kis ne sard aankhon se munjamid shabihon ko noch ke nikala tha
kis ne harf ka ma'ni apni kokh mein rakkhe jhuT se badal Dala
kis ne phul-fikron ko izn maut ka de kar KHar-zar beche hain
ajnabi jazire ke sahilon ki miTTi mein kitne raaz soe hain
ajnabi jazire par sirf maut rahti hai
aur jo bhi rahta hai maut ki tijarat se 'ashiqi si karta hai
ajnabi jazire par
kaise aa gai hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.