ajnabi
ai hama-rañg hama-nūr hama-soz-o-gudāz
bazm-e-mahtāb se aane kī zarūrat kyā thī
tū jahāñ thī usī jannat meñ nikhartā tirā ruup
is jahannam ko basāne kī zarūrat kyā thī
ye ḳhad-o-ḳhāl ye ḳhvāboñ se tarāshā huā jism
aur dil jis pe ḳhad-o-ḳhāl kī narmī bhī nisār
ḳhaar hī ḳhaar sharāre hī sharāre haiñ yahāñ
aur tham tham ke uThā paañv bahāroñ kī bahār
tishnagī zahr bhī pī jaatī hai amrit kī tarah
jaane kis jaam pe ruk jaa.e nigāh-e-ma.asūm
Dūbte dekhā hai jin āñkhoñ meñ mai-ḳhāna bhī
pyaas un āñkhoñ kī bujhe yā na bujhe kyā ma.alūm
haiñ sabhī husn-parast ahl-e-nazar sāhib-e-dil
koī ghar meñ koī mahfil meñ sajā.egā tujhe
tū faqat jism nahīñ sher bhī hai giit bhī hai
kaun ashkoñ kī ghanī chhāñv meñ gā.egā tujhe
tujh se ik dard kā rishta bhī hai bas pyaar nahīñ
apne āñchal pe mujhe ashk bahā lene de
tū jahāñ jaatī hai jaa, rokne vaalā maiñ kaun
apne raste meñ magar sham.a jalā lene de
ai hama-rang hama-nur hama-soz-o-gudaz
bazm-e-mahtab se aane ki zarurat kya thi
tu jahan thi usi jannat mein nikharta tera rup
is jahannam ko basane ki zarurat kya thi
ye KHad-o-KHal ye KHwabon se tarasha hua jism
aur dil jis pe KHad-o-KHal ki narmi bhi nisar
KHar hi KHar sharare hi sharare hain yahan
aur tham tham ke uTha panw bahaaron ki bahaar
tishnagi zahr bhi pi jati hai amrit ki tarah
jaane kis jam pe ruk jae nigah-e-masum
Dubte dekha hai jin aankhon mein mai-KHana bhi
pyas un aankhon ki bujhe ya na bujhe kya malum
hain sabhi husn-parast ahl-e-nazar sahib-e-dil
koi ghar mein koi mahfil mein sajaega tujhe
tu faqat jism nahin sher bhi hai git bhi hai
kaun ashkon ki ghani chhanw mein gaega tujhe
tujh se ek dard ka rishta bhi hai bas pyar nahin
apne aanchal pe mujhe ashk baha lene de
tu jahan jati hai ja, rokne wala main kaun
apne raste mein magar shama jala lene de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.