ajnabi rah-guzar
ajnabī rāh-guzar sochtī hai
koī darvāza khule
har taraf dard ke lambe saa.e
rāste phail ga.e duur ga.e
dhaḌkaneñ tez huiiñ aur bhī tez
ajnabī rāh-guzar sochtī hai
koī mahjūb nazāra ubhre
aur majbūr faqīroñ kī tarah
har qadam chaltī hai dastak dastak
har nafas ek na.ī raah har ik samt meñ bhāgī lekin
jis tarah vasl kā har lamha judā.ī kā safar
ajnabī rāhguzar sochtī hai
shāyad ab aisā maqām aa jaa.e
har qadam aap har ik rāh-guzar ho manzil
ḳhud-ba-ḳhud dard kā har lamha ho lutf
ajnabī rāh-guzar sochtī hai
dar-ba-dar ḳhāk-basar sochtī hai
ajnabi rah-guzar sochti hai
koi darwaza khule
har taraf dard ke lambe sae
raste phail gae dur gae
dhaDkanen tez huin aur bhi tez
ajnabi rah-guzar sochti hai
koi mahjub nazara ubhre
aur majbur faqiron ki tarah
har qadam chalti hai dastak dastak
har nafas ek nai rah har ek samt mein bhagi lekin
jis tarah wasl ka har lamha judai ka safar
ajnabi rahguzar sochti hai
shayad ab aisa maqam aa jae
har qadam aap har ek rah-guzar ho manzil
KHud-ba-KHud dard ka har lamha ho lutf
ajnabi rah-guzar sochti hai
dar-ba-dar KHak-basar sochti hai
- Book : naquush (Pg. 231)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.