ajnabi sham
dhuñd chhā.ī huī hai jhīloñ par
uḌ rahe haiñ parind Tīloñ par
sab kā ruḳh hai nashemanoñ kī taraf
bastiyoñ kī taraf banoñ kī taraf
apne galloñ ko le ke charvāhe
sarhadī bastiyoñ meñ jā pahuñche
dil-e-nākām maiñ kahāñ jā.ūñ
ajnabī shaam maiñ kahāñ jā.ūñ
dhund chhai hui hai jhilon par
uD rahe hain parind Tilon par
sab ka ruKH hai nashemanon ki taraf
bastiyon ki taraf banon ki taraf
apne gallon ko le ke charwahe
sarhadi bastiyon mein ja pahunche
dil-e-nakaam main kahan jaun
ajnabi sham main kahan jaun
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 422)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.