ajnabi
ab ye ehsās dam-e-fikr-e-suḳhan hone lagā
apnī hī nazmoñ kā bhūlā huā kirdār huuñ maiñ
maiñ musāfir huuñ bayābān-e-farāmoshī kā
apne naqsh-e-kaf-e-pā se bhī shanāsā.ī nahīñ
tā-ba-pahanā-e-nazar ret ke Tīloñ kā sukūt
apnā saaya bhī yahāñ monis-e-tanhā.ī nahīñ
tiir ban kar koī sannāTe ke dil meñ utre
kisī māyūs parinde kī sadā-e-tanhā
zaḳhmī āhū-e-ramīda kī adā-e-tanhā
kaash pal bhar ko utar aatā ḳhudā-e-tanhā
maiñ kisī āzar-e-gumnām kā but huuñ shāyad
jis kī qismat meñ koī chashm-e-tamāshā.ī nahīñ
izn-e-fariyād nahīñ ruḳhsat-e-goyā.ī nahīñ
duur us paar shafaq rañg guphāoñ se pare
zer-e-mehrāb-e-falak qāfila-e-umr-e-ravāñ
taan uḌāte hue sarmast o javāñ guzrā thā
mah-nishāñ najm-chakāñ mehr-ināñ guzrā thā
ḳhuuñ rulātā hai subuk-gāmi-e-mahmil kā samāñ
ab bhī kauñdā sā lapaktā hai ghaTāoñ se pare
maiñ bhī us vaqt sar-e-rāh thā hairāñ hairāñ
pā-barahna nazar-āvāra tan-afgār ḳhamosh
dard se mohr-ba-lab sūrat-e-dīvār ḳhamosh
ḳhalish-e-hasrat-e-jāñ thī ki koī pahchāne
sham.a sī dil ke nihāñ-ḳhāne meñ larzāñ larzāñ
mujh pe kyā biit ga.ī kaun sune kyā jaane
chashm-e-ḳhūñ-basta ko aaseb kā māman samjhā
qāfile vāloñ ne shāyad mujhe rahzan samjhā
ab ye ehsas dam-e-fikr-e-suKHan hone laga
apni hi nazmon ka bhula hua kirdar hun main
main musafir hun bayaban-e-faramoshi ka
apne naqsh-e-kaf-e-pa se bhi shanasai nahin
ta-ba-pahana-e-nazar ret ke Tilon ka sukut
apna saya bhi yahan monis-e-tanhai nahin
tir ban kar koi sannaTe ke dil mein utre
kisi mayus parinde ki sada-e-tanha
zaKHmi aahu-e-ramida ki ada-e-tanha
kash pal bhar ko utar aata KHuda-e-tanha
main kisi aazar-e-gumnam ka but hun shayad
jis ki qismat mein koi chashm-e-tamashai nahin
izn-e-fariyaad nahin ruKHsat-e-goyai nahin
dur us par shafaq rang guphaon se pare
zer-e-mehrab-e-falak qafila-e-umr-e-rawan
tan uDate hue sarmast o jawan guzra tha
mah-nishan najm-chakan mehr-inan guzra tha
KHun rulata hai subuk-gami-e-mahmil ka saman
ab bhi kaunda sa lapakta hai ghaTaon se pare
main bhi us waqt sar-e-rah tha hairan hairan
pa-barahna nazar-awara tan-afgar KHamosh
dard se mohr-ba-lab surat-e-diwar KHamosh
KHalish-e-hasrat-e-jaan thi ki koi pahchane
shama si dil ke nihan-KHane mein larzan larzan
mujh pe kya bit gai kaun sune kya jaane
chashm-e-KHun-basta ko aaseb ka maman samjha
qafile walon ne shayad mujhe rahzan samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.