ajnabi
uun utrī bhiiḌ ke mānind peḌ
muñh chiḌātī dil dukhātī choTiyāñ
duur nīche pattharoñ kī sej par
sar paTaḳhtī chīḳhtī naddī ravāñ
āsmāñ par murda bādal ḳhema-zan
qahqahoñ se ra.ad ke nā-āshnā
mahr jaise koī majbūr-e-azal
ek maile jaal meñ uljhā huā
malgajī sī raushnī meñ ek peḌ
kāñptī uñglī se mujh par ḳhanda-zan
āsmāñ par dā.ere ke ruup meñ
chīḳhte rote hue bhūke parind
dam-ba-dam ġhota lagāte merī or
dam-ba-dam mujh pe jhapaTte murda-ḳhor
un utri bhiD ke manind peD
munh chiDati dil dukhati choTiyan
dur niche pattharon ki sej par
sar paTaKHti chiKHti naddi rawan
aasman par murda baadal KHema-zan
qahqahon se rad ke na-ashna
mahr jaise koi majbur-e-azal
ek maile jal mein uljha hua
malgaji si raushni mein ek peD
kanpti ungli se mujh par KHanda-zan
aasman par daere ke rup mein
chiKHte rote hue bhuke parind
dam-ba-dam ghota lagate meri or
dam-ba-dam mujh pe jhapaTte murda-KHor
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 142)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.