akaD shah
akaḌ shaah ik shaḳhs-e-nādān thā
vo is baat se lekin anjān thā
thī us kī tabī.at meñ āvārgī
himāqat vo kartā thā yak-bārgī
vo qarzoñ ke maare pareshān thā
usūl-e-tijārat se anjān thā
ḳharīdār aate the bas ḳhāl-ḳhāl
ki mausam kā rakhtā na thā vo ḳhayāl
ki sardī meñ vo gole ġhanDe rakhe
to garmī meñ vo uble anDe rakhe
december meñ qulfī kī khole dukān
may meñ rakhe moTe kapḌoñ ke thaan
akaD shah ek shaKHs-e-nadan tha
wo is baat se lekin anjaan tha
thi us ki tabiat mein aawargi
himaqat wo karta tha yak-bargi
wo qarzon ke mare pareshan tha
usul-e-tijarat se anjaan tha
KHaridar aate the bas KHal-KHal
ki mausam ka rakhta na tha wo KHayal
ki sardi mein wo gole ghanDe rakhe
to garmi mein wo uble anDe rakhe
december mein qulfi ki khole dukan
may mein rakhe moTe kapDon ke than
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.