akaD shah mal-dar ho gaya
akaḌ shaah ġhamgīn har aan thā
vo ġhurbat ke maare pareshān thā
vo bistar pe ik raat rone lagā
usī rone-dhone meñ sone lagā
uThā jab vo so kar to bīmār thā
ba-dastūr ġhurbat se bezār thā
purānī sī ik chārpā.ī thī bas
badan par phaTī ik razā.ī thī bas
davā doctor se vo lene gayā
davā doctor de ke kahne lagā
ki mahsūs mujh ko huī shai ajiib
badan meñ tumhāre vo dil ke qarīb
huī is davā.ī se matlī use
achānak huī ek ulTī use
chamaktā sā hiirā barāmad huā
akaḌ shaah hairān az-had huā
vo hiirā akaḌ shaah ne bech kar
kiyā hāsil apne liye māl-o-zar
huā mulk bhar meñ vo ab māl-dār
huā ahl-e-sarvat meñ us kā shumār
vo apnī amīrī meñ yuuñ kho gayā
farāmosh sab dostoñ ko kiyā
go scōter us ne na sīkhī kabhī
tijārat na kar paayā vo aam kī
the ab us kī gaaḌī meñ ḳhuddām bhī
vo khātā thā mahñge se ab aam bhī
vo ab inkisārī se anjān thā
akaḌ shaah goyā akaḌ shaan thā
masahrī pe ik raat sone gayā
vo kambal kī bāñhoñ meñ khone gayā
maze se vo so so ke juuñ hī uThā
ajab sā ik ehsās us ko huā
masahrī nahīñ chārpā.ī thī vo
vo kambal nahīñ thā razā.ī thī vo
tavīl aur achchhā sā ye ḳhvāb thā
khulā ab bhī iflās kā baab thā
'usāma' se qisse akaḌ shaah ke
na jāoge sun kar binā vaah ke
akaD shah ghamgin har aan tha
wo ghurbat ke mare pareshan tha
wo bistar pe ek raat rone laga
usi rone-dhone mein sone laga
uTha jab wo so kar to bimar tha
ba-dastur ghurbat se bezar tha
purani si ek chaarpai thi bas
badan par phaTi ek razai thi bas
dawa doctor se wo lene gaya
dawa doctor de ke kahne laga
ki mahsus mujh ko hui shai ajib
badan mein tumhaare wo dil ke qarib
hui is dawai se matli use
achanak hui ek ulTi use
chamakta sa hira baramad hua
akaD shah hairan az-had hua
wo hira akaD shah ne bech kar
kiya hasil apne liye mal-o-zar
hua mulk bhar mein wo ab mal-dar
hua ahl-e-sarwat mein us ka shumar
wo apni amiri mein yun kho gaya
faramosh sab doston ko kiya
go scooter us ne na sikhi kabhi
tijarat na kar paya wo aam ki
the ab us ki gaDi mein KHuddam bhi
wo khata tha mahnge se ab aam bhi
wo ab inkisari se anjaan tha
akaD shah goya akaD shan tha
masahri pe ek raat sone gaya
wo kambal ki banhon mein khone gaya
maze se wo so so ke jun hi uTha
ajab sa ek ehsas us ko hua
masahri nahin chaarpai thi wo
wo kambal nahin tha razai thi wo
tawil aur achchha sa ye KHwab tha
khula ab bhi iflas ka bab tha
'usama' se qisse akaD shah ke
na jaoge sun kar bina wah ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.