kis qadar sīdhā, sahal, saaf hai rasta dekho
na kisī shāḳh kā saaya hai, na dīvār kī Tek
na kisī aañkh kī āhaT, na kisī chehre kā shor
duur tak koī nahīñ, koī nahīñ, koī nahīñ
chand qadmoñ ke nishāñ haañ kabhī milte haiñ kahīñ
saath chalte haiñ jo kuchh duur faqat chand qadam
aur phir TuuT ke gir jaate haiñ ye kahte hue
apnī tanhā.ī liye aap chalo, tanhā akele
saath aa.e jo yahāñ koī nahīñ, koī nahīñ
kis qadar sīdhā, sahal, saaf hai rasta dekho
kis qadar sidha, sahal, saf hai rasta dekho
na kisi shaKH ka saya hai, na diwar ki Tek
na kisi aankh ki aahaT, na kisi chehre ka shor
dur tak koi nahin, koi nahin, koi nahin
chand qadmon ke nishan han kabhi milte hain kahin
sath chalte hain jo kuchh dur faqat chand qadam
aur phir TuT ke gir jate hain ye kahte hue
apni tanhai liye aap chalo, tanha akele
sath aae jo yahan koi nahin, koi nahin
kis qadar sidha, sahal, saf hai rasta dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.