akele hone ka KHauf
hameñ ye rañj thā
jab bhī mile
chāroñ taraf chehre shanāsā the
Hujūm-e-rah-guzar bāhoñ meñ bāheñ Daal kar chalne nahīñ detā
kahīñ jaa.eñ
ta.āqub karte saa.e gher lete haiñ
hameñ ye ranj thā
chāroñ taraf kī raushnī bujh kyuuñ nahīñ jaatī
añdherā kyuuñ nahīñ hotā
akele kyuuñ nahīñ hote
hameñ ye ranj thā
lekin ye kaisī dūriyāñ
tārīk sannāTe kī is saa.at meñ
apne darmiyāñ phir se chalī aa.iiñ
hamein ye ranj tha
jab bhi mile
chaaron taraf chehre shanasa the
Hujum-e-rah-guzar bahon mein bahen Dal kar chalne nahin deta
kahin jaen
taaqub karte sae gher lete hain
hamein ye ranj tha
chaaron taraf ki raushni bujh kyun nahin jati
andhera kyun nahin hota
akele kyun nahin hote
hamein ye ranj tha
lekin ye kaisi duriyan
tarik sannaTe ki is saat mein
apne darmiyan phir se chali aain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.