akeli bastiyan
be-kas chamelī phūle akelī aaheñ bhare dil-jalī
bhūrī pahāḌī ḳhākī fasīleñ dhānī kabhī sāñvlī
jañgal meñ raste rastoñ meñ patthar patthar pe nīlam-parī
lahrīlī saḌkeñ chalte manāzir bikhrī huī zindagī
bādal chaTāneñ maḳhmal ke parde pardoñ pe lahreñ paḌīñ
kākul pe kākul ḳhemoñ pe ḳheme silvaT pe silvaT harī
bastī meñ gandī galiyoñ ke ziine laḌke dhamā-chaukḌī
barse to chhāgal Thahre to halchal rāhoñ meñ ik khalbalī
girte gharauñde uThtī umañgeñ hāthoñ meñ gāgar bharī
kānoñ meñ baale chāñdī ke haale palkeñ ghanī khurdurī
haDDī pe chehre chehroñ pe āñkheñ aa.ī javānī chalī
Tīloñ pe jauban revaḌ ke revaḌ khetoñ pe jhālar chaḌhī
vaadī meñ bhīge roḌoñ kī peTī chashmoñ kī champā-kalī
sāñche na.e aur bāteñ purānī miTTī kī jādūgarī
be-kas chameli phule akeli aahen bhare dil-jali
bhuri pahaDi KHaki fasilen dhani kabhi sanwli
jangal mein raste raston mein patthar patthar pe nilam-pari
lahrili saDken chalte manazir bikhri hui zindagi
baadal chaTanen maKHmal ke parde pardon pe lahren paDin
kakul pe kakul KHemon pe KHeme silwaT pe silwaT hari
basti mein gandi galiyon ke zine laDke dhama-chaukDi
barse to chhagal Thahre to halchal rahon mein ek khalbali
girte gharaunde uThti umangen hathon mein gagar bhari
kanon mein baale chandi ke haale palken ghani khurduri
haDDi pe chehre chehron pe aankhen aai jawani chali
Tilon pe jauban rewaD ke rewaD kheton pe jhaalar chaDhi
wadi mein bhige roDon ki peTi chashmon ki champa-kali
sanche nae aur baaten purani miTTi ki jadugari
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 228)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.