aamadgi
ek ik iiñT girī paḌī hai
sab dīvāreñ kaañp rahī haiñ
an-thak koshisheñ me.amāroñ kī
sar ko thāme haañp rahī haiñ
moTe moTe shahtīroñ kā
resha resha chhūT gayā hai
bhārī bhārī jāmid patthar
ek ik kar ke TuuT gayā hai
lohe kī zanjīreñ gal kar
ab himmat hī chhoḌ chukī haiñ
halqa halqa chhūT gayā hai
bandish bandish toḌ chukī haiñ
chūne kī ik patlī sī tah
girte girte baiTh ga.ī hai
nabzeñ chhūT ga.iiñ miTTī kī
miTTī se sar joḌ rahī hai
sab kuchh Dher hai ab miTTī kā
tasvīreñ vo dilkash naqshe
pahchāno to ro dogī tum
ghar meñ huuñ bāhar huuñ ghar se
ab aao to rakkhā kyā hai
chashme saare suukh ga.e haiñ
yuuñ chāho to aa saktī ho
maiñ ne aañsū poñchh liye haiñ
ek ek inT giri paDi hai
sab diwaren kanp rahi hain
an-thak koshishen meamaron ki
sar ko thame hanp rahi hain
moTe moTe shahtiron ka
resha resha chhuT gaya hai
bhaari bhaari jamid patthar
ek ek kar ke TuT gaya hai
lohe ki zanjiren gal kar
ab himmat hi chhoD chuki hain
halqa halqa chhuT gaya hai
bandish bandish toD chuki hain
chune ki ek patli si tah
girte girte baiTh gai hai
nabzen chhuT gain miTTi ki
miTTi se sar joD rahi hai
sab kuchh Dher hai ab miTTi ka
taswiren wo dilkash naqshe
pahchano to ro dogi tum
ghar mein hun bahar hun ghar se
ab aao to rakkha kya hai
chashme sare sukh gae hain
yun chaho to aa sakti ho
main ne aansu ponchh liye hain
- Book : Kulliyat-e-Akhtaruliman (Pg. 87)
- Author : Baidar Bakht
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.