be-chaargi
hazār baar huā yuuñ ki jab umiid ga.ī
guloñ se rābta TuuTā na ḳhaar apne rahe
gumāñ guzarne lagā ham khaḌe haiñ sahrā meñ
fareb khāne kī jā rah ga.ii, na sapne rahe
nazar uThā ke kabhī dekh lete the uupar
na jaane kaun se a.amāl kī sazā hai ki aaj
ye vāhima bhī gayā sar pe āsmāñ hai koī
hazar bar hua yun ki jab umid gai
gulon se rabta TuTa na KHar apne rahe
guman guzarne laga hum khaDe hain sahra mein
fareb khane ki ja rah gai, na sapne rahe
nazar uTha ke kabhi dekh lete the upar
na jaane kaun se aamal ki saza hai ki aaj
ye wahima bhi gaya sar pe aasman hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.