aks-bar-aks
yuuñ to diye namnāk meñ
aks-e-kashīda hādsāt-o-vāqi.āt kī
apnī koī ahmiyat nahīñ hotī
lekin
mun.akis zehn ġhaur zarūr kartā hai
ḳhud se savāl kartā hai
ḳhud ko javāb detā hai
aur
apne javāb ko sach sābit karne ke liye
dalīleñ pesh kartā hai
lekin
maiñ ek shā.ir huuñ ek ā.īna huuñ
samāj kā ā.īna
mire dā.ere meñ aane vaale
vajūd ko mahfūz karnā
mirī fitrat hai
ye vajūd
merī āñkhoñ meñ namī jaisī
mere hoñToñ pe hañsī jaisī
koī chiiz rakh detā hai
phir bhī mere liye ye zarūrī nahīñ
ki maiñ
apne bātin meñ kashīda
vajūd ke difā.a meñ dalīl duuñ
mujhe chhupāne kā iḳhtiyār hai
aap samajhne ke liye āzād haiñ
yun to diye namnak mein
aks-e-kashida hadsat-o-waqiat ki
apni koi ahmiyat nahin hoti
lekin
munakis zehn ghaur zarur karta hai
KHud se sawal karta hai
KHud ko jawab deta hai
aur
apne jawab ko sach sabit karne ke liye
dalilen pesh karta hai
lekin
main ek shair hun ek aaina hun
samaj ka aaina
mere daere mein aane wale
wajud ko mahfuz karna
meri fitrat hai
ye wajud
meri aankhon mein nami jaisi
mere honTon pe hansi jaisi
koi chiz rakh deta hai
phir bhi mere liye ye zaruri nahin
ki main
apne baatin mein kashida
wajud ke difaa mein dalil dun
mujhe chhupane ka iKHtiyar hai
aap samajhne ke liye aazad hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.