aksar aisa hota hai
biite mausam kī ḳhushbū se
mahke titlī lamhe
ḳhushk laboñ ko chhū lete haiñ saarī kaḌvāhaT tan-man kī
ek ġhazal ho jaatī hai
kabhī kahīñ koī sachchī baanī koī dīpak sā lahja
maddham sur meñ Dhaltā hai
aksar aisā hotā hai
Dhol pīTte lafz na jaane kaise gum ho jaate haiñ
ek surīlī sī shahnā.ī
prem-sudhā ban jaatī hai
aksar aisā hotā hai
bite mausam ki KHushbu se
mahke titli lamhe
KHushk labon ko chhu lete hain sari kaDwahaT tan-man ki
ek ghazal ho jati hai
kabhi kahin koi sachchi bani koi dipak sa lahja
maddham sur mein Dhalta hai
aksar aisa hota hai
Dhol piTte lafz na jaane kaise gum ho jate hain
ek surili si shahnai
prem-sudha ban jati hai
aksar aisa hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.