aksar main sochta hun
kaise banā.ī tū ne ye kā.enāt pyārī
hairān ho rahī hai aql-o-ḳhirad hamārī
kaliyāñ mahak rahī haiñ e.ajāz hai ye terā
ḳhushbū kahāñ se aa.ī ik raaz hai ye terā
bulbul ke chahchahoñ ne hairān kar diyā hai
insāñ ke qahqahoñ ne hairān kar diyā hai
shashdar huuñ dekh ke maiñ uḌte haiñ kaise panchhī
dariyā meñ dekhtā huuñ jaate haiñ kaise māñjhī
kis tarah be-sutūñ ye tū ne falak banāyā
āñchal ko tū ne us ke bāroñ se jagmagāyā
kis tarah kī haiñ paidā barsāt kī ghaTā.eñ
kis tarah chal rahī haiñ pur-kaif ye havā.eñ
dariyā pahāḌ jañgal kis tarah ban ga.e haiñ
ye baat aql vaale har vaqt sochte haiñ
kis tarah tū ne maulā insān ko banāyā
aksar maiñ sochtā huuñ kaisā hai tū ḳhudāyā
kaise banai tu ne ye kaenat pyari
hairan ho rahi hai aql-o-KHirad hamari
kaliyan mahak rahi hain eajaz hai ye tera
KHushbu kahan se aai ek raaz hai ye tera
bulbul ke chahchahon ne hairan kar diya hai
insan ke qahqahon ne hairan kar diya hai
shashdar hun dekh ke main uDte hain kaise panchhi
dariya mein dekhta hun jate hain kaise manjhi
kis tarah be-sutun ye tu ne falak banaya
aanchal ko tu ne us ke baron se jagmagaya
kis tarah ki hain paida barsat ki ghaTaen
kis tarah chal rahi hain pur-kaif ye hawaen
dariya pahaD jangal kis tarah ban gae hain
ye baat aql wale har waqt sochte hain
kis tarah tu ne maula insan ko banaya
aksar main sochta hun kaisa hai tu KHudaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.