sub.h se shaam tak
silsila ziist kā
kis qadar hai kaThin kis qadar be-amāñ
lamha lamha sisaktī huuī zindagī
har qadam par bilaktī huuī zindagī
ḳhvāhishoñ kī asīrī pe nauha-kunāñ
har ghaḌī jism-o-jāñ
ruuh ghāyal ḳharāshoñ ke dil par nishāñ
roz-e-avval se jārī-o-sārī yahāñ
vahshatoñ kā samāñ
koī pal bhī aziyyat se ḳhālī nahīñ
kaun sī aañkh hai jo savālī nahīñ
koī vāris nahīñ koī vaalī nahīñ
gulshan-e-ḳhvāb kā koī maalī nahīñ
ḳhatm hotā nahīñ shor-e-āh-o-fuġhāñ
hai azal se abad tak yahī dāstāñ
al-amāñ al-amāñ!!
subh se sham tak
silsila zist ka
kis qadar hai kaThin kis qadar be-aman
lamha lamha sisakti hui zindagi
har qadam par bilakti hui zindagi
KHwahishon ki asiri pe nauha-kunan
har ghaDi jism-o-jaan
ruh ghayal KHarashon ke dil par nishan
roz-e-awwal se jari-o-sari yahan
wahshaton ka saman
koi pal bhi aziyyat se KHali nahin
kaun si aankh hai jo sawali nahin
koi waris nahin koi wali nahin
gulshan-e-KHwab ka koi mali nahin
KHatm hota nahin shor-e-ah-o-fughan
hai azal se abad tak yahi dastan
al-aman al-aman!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.