rāt-bhar sard havā chaltī rahī
rāt-bhar ham ne alaao taapā
maiñ ne maazī se ka.ī ḳhushk sī shāḳheñ kāTīñ
tum ne bhī guzre hue lamhoñ ke patte toḌe
maiñ ne jeboñ se nikālīñ sabhī sūkhī nazmeñ
tum ne bhī hāthoñ se murjhā.e hue ḳhat khole
apnī in āñkhoñ se maiñ ne ka.ī māñje toḌe
aur hāthoñ se ka.ī baasī lakīreñ pheñkīñ
tum ne palkoñ pe namī suukh ga.ī thī so girā dī
raat bhar jo bhī milā ugte badan par ham ko
kaaT ke Daal diyā jalte alaao meñ use
rāt-bhar phū.koñ se har lau ko jagā.e rakkhā
aur do jismoñ ke īñdhan ko jalā.e rakkhā
rāt-bhar bujhte hue rishte ko taapā ham ne
raat-bhar sard hawa chalti rahi
raat-bhar hum ne alao tapa
main ne mazi se kai KHushk si shaKHen kaTin
tum ne bhi guzre hue lamhon ke patte toDe
main ne jebon se nikalin sabhi sukhi nazmen
tum ne bhi hathon se murjhae hue KHat khole
apni in aankhon se main ne kai manje toDe
aur hathon se kai basi lakiren phenkin
tum ne palkon pe nami sukh gai thi so gira di
raat bhar jo bhi mila ugte badan par hum ko
kaT ke Dal diya jalte alao mein use
raat-bhar phukon se har lau ko jagae rakkha
aur do jismon ke indhan ko jalae rakkha
raat-bhar bujhte hue rishte ko tapa hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.