alamiya-e-naqd
ye be-rahm choToñ ḳhasāroñ kī duniyā
ye kāġhaz ke jhūTe sahāroñ kī duniyā
ye rūpyoñ ke lālach ke māroñ kī duniyā
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
har ik jeb chhalnī har ik aañkh pyāsī
har ik ruḳh pe phailī huī bad-havāsī
ho mansūḳh rupiyoñ kī kaise nikāsī
ye rupaya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
hamārā hai phir bhī hamārā nahīñ hai
tasarruf par apnā ijārā nahīñ hai
bulandī par apnā sitārā nahīñ hai
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye ḳhuuñ aur pasīne kī gāḌhī kamā.ī
samajh meñ yahī baat ab tak na aa.ī
bhalā kab ġharīboñ ke ye kaam aa.ī
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
paḌī bāñjh haiñ a-t-m kī mashīneñ
ghisīñ bank kī chaukhaToñ pe jabīneñ
qatāroñ meñ sab chhup ga.ī haiñ zamīneñ
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to duniyā
sabhī kaale dhan vaale haiñ ḳhairiyat se
jahāñ haiñ jidhar haiñ vo haiñ āfiyat se
mile na mile un ko achchhī niyyat se
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
chamakdār dhan kaale dhan se nikālo
ġharīboñ ko rañj-o-mehan se nikālo
hameñ tum hamāre kafan se nikālo
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye mazdūr ye aam tājir ye modī
sabhī sāda-lauhoñ kī kashtī Dubo dī
kisī ke bhī pīchhe se suuī chubho dī
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kiyā hai
baḌī shiddateñ aurteñ sah rahī hai
khaḌī apne ashkoñ meñ vo bah rahī hai
raqam le ke hāthoñ meñ ye kah rahī hai
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
rūpa.e ghar meñ rakhne kī achchhī sazā hai
na roTī pakī hai na sālan banā hai
ka.ī din se ghar meñ na chūlhā jalā hai
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
na.e note kā qadd-o-qāmat to dekho
ye chūran kī parchī kī shāmat to dekho
ye kāġhaz kī patlī hajāmat to dekho
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye hai biis sau kā magar sau se halkā
hai bārīk itnā ki surma kharal kā
currency kī āñkhoñ kā paanī hai Dhalkā
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
hamāre saroñ ko fazā meñ uchhālo
hameñ shauq-e-sabr-āzmā meñ uchhālo
ye be-kār note ab havā meñ uchhālo
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
har ik ġham ko ifrāt-e-zar meñ bahā lo
ma.īshat kā aisā janāza nikālo
siyāsat kī bhaTTī meñ sab jhoñk Daalo
ye rūpya agar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye be-rahm choTon KHasaron ki duniya
ye kaghaz ke jhuTe sahaaron ki duniya
ye rupyon ke lalach ke maron ki duniya
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
har ek jeb chhalni har ek aankh pyasi
har ek ruKH pe phaili hui bad-hawasi
ho mansuKH rupiyon ki kaise nikasi
ye rupaya agar mil bhi jae to kya hai
hamara hai phir bhi hamara nahin hai
tasarruf par apna ijara nahin hai
bulandi par apna sitara nahin hai
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
ye KHun aur pasine ki gaDhi kamai
samajh mein yahi baat ab tak na aai
bhala kab gharibon ke ye kaam aai
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
paDi banjh hain a-t-m ki mashinen
ghisin bank ki chaukhaTon pe jabinen
qataron mein sab chhup gai hain zaminen
ye rupya agar mil bhi jae to duniya
sabhi kale dhan wale hain KHairiyat se
jahan hain jidhar hain wo hain aafiyat se
mile na mile un ko achchhi niyyat se
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
chamakdar dhan kale dhan se nikalo
gharibon ko ranj-o-mehan se nikalo
hamein tum hamare kafan se nikalo
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
ye mazdur ye aam tajir ye modi
sabhi sada-lauhon ki kashti Dubo di
kisi ke bhi pichhe se sui chubho di
ye rupya agar mil bhi jae to kiya hai
baDi shiddaten aurten sah rahi hai
khaDi apne ashkon mein wo bah rahi hai
raqam le ke hathon mein ye kah rahi hai
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
rupae ghar mein rakhne ki achchhi saza hai
na roTi paki hai na salan bana hai
kai din se ghar mein na chulha jala hai
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
nae note ka qadd-o-qamat to dekho
ye churan ki parchi ki shamat to dekho
ye kaghaz ki patli hajamat to dekho
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
ye hai bis sau ka magar sau se halka
hai barik itna ki surma kharal ka
currency ki aankhon ka pani hai Dhalka
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
hamare saron ko faza mein uchhaalo
hamein shauq-e-sabr-azma mein uchhaalo
ye be-kar note ab hawa mein uchhaalo
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
har ek gham ko ifraat-e-zar mein baha lo
maishat ka aisa janaza nikalo
siyasat ki bhaTTi mein sab jhonk Dalo
ye rupya agar mil bhi jae to kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.