albeli subh
nazar jhukā.e urūs-e-fitrat jabīñ se zulfeñ haTā rahī hai
sahar kā taarā hai zalzale meñ ufuq kī lau thartharā rahī hai
ravish ravish naġhma-e-tarab hai chaman chaman jashn-e-rañg-o-bū hai
tuyūr shāḳhoñ pe haiñ ġhazal-ḳhvāñ kalī kalī gungunā rahī hai
sitāra-e-sub.h kī rasīlī jhapaktī āñkhoñ meñ haiñ fasāne
nigār-e-mahtāb kī nashīlī nigāh jaadū jagā rahī hai
tuyūr bazm-e-sahar ke mutrib lachaktī shāḳhoñ pe gā rahe haiñ
nasīm firdaus kī sahelī guloñ ko jhūlā jhulā rahī hai
kalī pe bele kī kis adā se paḌā hai shabnam kā ek motī
nahīñ ye hiire kī kiil pahne koī parī muskurā rahī hai
sahar ko madd-e-nazar haiñ kitnī ri.āyteñ chashm-e-ḳhūñ-fishāñ kī
havā bayābāñ se aane vaalī lahū meñ surḳhī baḌhā rahī hai
shalūkā pahne hue gulābī har ik subuk pañkhuḌī chaman meñ
rañgī huī surḳh oḌhnī kā havā meñ pallū sukhā rahī hai
falak pe is tarah chhup rahe haiñ hilāl ke gird-o-pesh taare
ki jaise koī na.ī navelī jabīñ se afshāñ chhuḌā rahī hai
khaTak ye kyuuñ dil meñ ho chalī phir chaTaktī kaliyo? zarā Thaharnā
havā-e-gulshan kī narm ro meñ ye kisī kī āvāz aa rahī hai?
nazar jhukae urus-e-fitrat jabin se zulfen haTa rahi hai
sahar ka tara hai zalzale mein ufuq ki lau tharthara rahi hai
rawish rawish naghma-e-tarab hai chaman chaman jashn-e-rang-o-bu hai
tuyur shaKHon pe hain ghazal-KHwan kali kali gunguna rahi hai
sitara-e-subh ki rasili jhapakti aankhon mein hain fasane
nigar-e-mahtab ki nashili nigah jadu jaga rahi hai
tuyur bazm-e-sahar ke mutrib lachakti shaKHon pe ga rahe hain
nasim firdaus ki saheli gulon ko jhula jhula rahi hai
kali pe bele ki kis ada se paDa hai shabnam ka ek moti
nahin ye hire ki kil pahne koi pari muskura rahi hai
sahar ko madd-e-nazar hain kitni riayten chashm-e-KHun-fishan ki
hawa bayaban se aane wali lahu mein surKHi baDha rahi hai
shaluka pahne hue gulabi har ek subuk pankhuDi chaman mein
rangi hui surKH oDhni ka hawa mein pallu sukha rahi hai
falak pe is tarah chhup rahe hain hilal ke gird-o-pesh tare
ki jaise koi nai naweli jabin se afshan chhuDa rahi hai
khaTak ye kyun dil mein ho chali phir chaTakti kaliyo? zara Thaharna
hawa-e-gulshan ki narm ro mein ye kisi ki aawaz aa rahi hai?
- Book : Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 11)
- Author : Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
- Publication : qaumi council baraye-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.