album
harī masjid kī halkī dhuup meñ
taaza vazū se giile paañv
aur Tapaktī āstīnoñ kī chamak meñ log the
jo saf-ba-saf
apnā janāza paḌh rahe the
sadar darvāze se
ik bārūd meñ Duubā huā
jannat kā saTTā-bāz aur hūroñ kā saudāgar
achānak sahv kā sajda adā karne ko aayā
aur harī masjid ne apnā rañg badlā
qurmuzī dahlīz par jitne bhī juute the
vo taaza ḳhuun par pahle to tere
aur phir
jamte lahū par jam ga.e
maiñ bachpan meñ
ka.ī mulkoñ ke sikke aur Ticketeñ jamā kartā thā
bayāz-e-zehn ke tārīk pannoñ par
maiñ ab jismoñ ke TukḌe jamā kartā huuñ
mirī album ke safhoñ kī tahoñ se ḳhuuñ nikaltā hai
mirī āñkhoñ se ristā hai
hari masjid ki halki dhup mein
taza wazu se gile panw
aur Tapakti aastinon ki chamak mein log the
jo saf-ba-saf
apna janaza paDh rahe the
sadar darwaze se
ek barud mein Duba hua
jannat ka saTTa-baz aur huron ka saudagar
achanak sahw ka sajda ada karne ko aaya
aur hari masjid ne apna rang badla
qurmuzi dahliz par jitne bhi jute the
wo taza KHun par pahle to tere
aur phir
jamte lahu par jam gae
main bachpan mein
kai mulkon ke sikke aur Ticketen jama karta tha
bayaz-e-zehn ke tarik pannon par
main ab jismon ke TukDe jama karta hun
meri album ke safhon ki tahon se KHun nikalta hai
meri aankhon se rista hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.