alf-e-laila ki aaKHiri subh
fasāna kaise baḌhe
na koī sāhir-e-pazhmurda sin na saudāgar
na chiin se koī aa.e na bāḳhtar se koī
balaḳh ke shahr meñ aur qaaf ke paristāñ meñ
koī parī na parī-zād kaun aa.egā
fasāna kaise baḌhe
vilāyatoñ ke faristād-gān-e-ishq to kyā
kanār-e-bahr pe qazzāq bhī nahīñ koī
azā-kuninda-e-shab hai na hai payāmi-e-sub.h
na dasht-e-rah-zadagāñ meñ hai sabz-posh koī
na devtā hai na autār haiñ na paiġhambar
fasāna kaise baḌhe
hazāroñ rātoñ kī vo dāstāñ tamām huī
hazāroñ qissoñ kī vo raat ḳhatm par aa.ī
bahāna koī nahīñ
bas ab ki ma.āl-e-shikast-e-bayāñ kī baarī hai
fasāna koī nahīñ ab to jaañ kī baarī hai
fasana kaise baDhe
na koi sahir-e-pazhmurda sin na saudagar
na chin se koi aae na baKHtar se koi
balaKH ke shahr mein aur qaf ke paristan mein
koi pari na pari-zad kaun aaega
fasana kaise baDhe
wilayaton ke faristad-gan-e-ishq to kya
kanar-e-bahr pe qazzaq bhi nahin koi
aza-kuninda-e-shab hai na hai payami-e-subh
na dasht-e-rah-zadagan mein hai sabz-posh koi
na dewta hai na autar hain na paighambar
fasana kaise baDhe
hazaron raaton ki wo dastan tamam hui
hazaron qisson ki wo raat KHatm par aai
bahana koi nahin
bas ab ki maal-e-shikast-e-bayan ki bari hai
fasana koi nahin ab to jaan ki bari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.