saare alfāz
alfāz alfāz alfāz
alfāz hī haiñ
dhuveñ se likkhe
ik bayābāñ ke añdhkār ke darmiyāñ
bayābāñ ke añdhkārī ke darmiyāñ
niiñd kī
niilī niilī surañgeñ kahāñ
kahāñ koī hamsā.egī
ḳhuun kī sarḳhushī
dharm aḳhlāq tahzīb insāniyat
rājnītī
mohabbat samāj aur jamhūriyat
nyaa.e dastūr rishte
dost bhaa.ī bahan baap maañ
saare alfāz
alfāz alfāz hī haiñ
dhueñ se likhe
sirf maiñ
aur mire qurb kā
nāmyātī ta.alluq
haqīqat hai
aur baaqī sab kuchh haiñ
TuuTe tilismāt kī haDDiyāñ
sare alfaz
alfaz alfaz alfaz
alfaz hi hain
dhuwen se likkhe
ek bayaban ke andhkar ke darmiyan
bayaban ke andhkari ke darmiyan
nind ki
nili nili surangen kahan
kahan koi hamsaegi
KHun ki sarKHushi
dharm aKHlaq tahzib insaniyat
rajniti
mohabbat samaj aur jamhuriyat
nyae dastur rishte
dost bhai bahan bap man
sare alfaz
alfaz alfaz hi hain
dhuen se likhe
sirf main
aur mere qurb ka
namyati talluq
haqiqat hai
aur baqi sab kuchh hain
TuTe tilismat ki haDDiyan
- Book : kushaad (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.