alfaz ke tarik baadal
alfāz ke jaadū se
sehr-kāroñ ne har vaqt
patthar ko kabhī shīsha
kabhī aag ko shabnam
nafrat ko mohabbat kabhī insān ko haivān..... haivān banāyā
jis raah pe chalte rahe gumrāh musāfir
un rāhoñ ko har moḌ pe, be-moḌ pe
is tarah ghumāyā
ki jaise ḳhalāoñ meñ sabhī ghuum rahe hoñ
dīvānoñ kī mānind
gardish ne unheñ aur bhī
dīvāna banāyā
dīvānoñ ke qadmoñ meñ ye laTkī huī zanjīr alfāz kī
ab chīḳh rahī hai
alfāz pe dīvāne bharosa nahīñ karte
alfaz ke jadu se
sehr-karon ne har waqt
patthar ko kabhi shisha
kabhi aag ko shabnam
nafrat ko mohabbat kabhi insan ko haiwan haiwan banaya
jis rah pe chalte rahe gumrah musafir
un rahon ko har moD pe, be-moD pe
is tarah ghumaya
ki jaise KHalaon mein sabhi ghum rahe hon
diwanon ki manind
gardish ne unhen aur bhi
diwana banaya
diwanon ke qadmon mein ye laTki hui zanjir alfaz ki
ab chiKH rahi hai
alfaz pe diwane bharosa nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.