alfaz
ye lafz suqrāt lafz iisā
maiñ in kā ḳhāliq ye mere ḳhāliq
yahī azal haiñ yahī abad haiñ yahī zamāñ haiñ yahī makāñ haiñ
ye zehn-tā-zehn rah-guzar haiñ ye rūh-tā-rūh ik safar haiñ
sadāqat-e-asr bhī yahī haiñ karāhat-e-jabr bhī yahī haiñ
alāmat-e-dard bhī yahī haiñ karāmat-e-sabr bhī yahī haiñ
baġhair tafrīq-e-rañg-o-maz.hab zamīñ zamīñ in kī bādshāhī
khiñche hue haiñ lahū lahū meñ bichhe hue haiñ zabāñ zabāñ par
ye jhuuT bhī haiñ ye luuT bhī haiñ ye jañg bhī haiñ ye ḳhuun bhī haiñ
magar ye majbūriyāñ haiñ in kī
baġhair in ke hayāt saarī tavahhumātī
har ek harakat sukūt Thahre
na kah sakeñ kuchh na sun sakeñ kuchh
har ek ā.īna apnī akkāsiyoñ pe hairāñ ho aur chup ho
nigāh-e-nazzāra-bīñ tamāshā ho vahshatoñ kā
ijāzat-e-jalva de ke jaise zabāñ se goyā.ī chhīn lī jaa.e
na husn kuchh ho na ishq kuchh ho
tamām ehsās kī havā.eñ tamām irfān ke jazīre tamām ye ilm ke samundar
sarāb hoñ vahm hoñ gumāñ hoñ
ye lafz tesha haiñ jin se afkār apnī sūrat tarāshte haiñ
masīh-e-dast-o-qalam se nikleñ to phir ye alfāz bolte haiñ
yahī musavvir yahī haiñ but-gar yahī haiñ shā.er
yahī muġhannī yahī navā haiñ
yahī payambar yahī ḳhudā haiñ
maiñ kīmiyā huuñ ye kīmiyā-gar
ye merā kalyān chāhte haiñ
maiñ in kī tasḳhīr kar rahā huuñ
ye merī ta.amīr kar rahe haiñ
ye lafz suqraat lafz isa
main in ka KHaliq ye mere KHaliq
yahi azal hain yahi abad hain yahi zaman hain yahi makan hain
ye zehn-ta-zehn rah-guzar hain ye ruh-ta-ruh ek safar hain
sadaqat-e-asr bhi yahi hain karahat-e-jabr bhi yahi hain
alamat-e-dard bhi yahi hain karamat-e-sabr bhi yahi hain
baghair tafriq-e-rang-o-mazhab zamin zamin in ki baadshahi
khinche hue hain lahu lahu mein bichhe hue hain zaban zaban par
ye jhuT bhi hain ye luT bhi hain ye jang bhi hain ye KHun bhi hain
magar ye majburiyan hain in ki
baghair in ke hayat sari tawahhumati
har ek harakat sukut Thahre
na kah saken kuchh na sun saken kuchh
har ek aaina apni akkasiyon pe hairan ho aur chup ho
nigah-e-nazzara-bin tamasha ho wahshaton ka
ijazat-e-jalwa de ke jaise zaban se goyai chhin li jae
na husn kuchh ho na ishq kuchh ho
tamam ehsas ki hawaen tamam irfan ke jazire tamam ye ilm ke samundar
sarab hon wahm hon guman hon
ye lafz tesha hain jin se afkar apni surat tarashte hain
masih-e-dast-o-qalam se niklen to phir ye alfaz bolte hain
yahi musawwir yahi hain but-gar yahi hain shaer
yahi mughanni yahi nawa hain
yahi payambar yahi KHuda hain
main kimiya hun ye kimiya-gar
ye mera kalyan chahte hain
main in ki tasKHir kar raha hun
ye meri tamir kar rahe hain
- Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 41)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.