ali-mohsin MBA, Khaalid-bin-walid road
ali-mohsin ke māmūñ luT ke ambāla se jab lahore aa.e the
kalām-e-pāk alam aur sajda-gāheñ saath laa.e the
chunāñche un ke ghar meñ mustaqil duldul bhī paltā thā
hamesha nau mohrram ko alam ghar se nikaltā thā
har āshūre ali-mohsin baḌe māmūñ ke ghar lahore hotā thā
vahīñ do chaar din ruk kar karachi jab vo aatā thā
to beDin road ke amritsarī halvā.ī se ammī aur abbā ke liye
laDDū bhī laatā thā
ali-mohsin ke abbā-jī baḌe hī pāk-tīnat the
magar un ke pakhoḌoñ aur kamar par mustaqil ḳhārish sī rahtī thī
ali-mohsin kī ammī kīna-parvar thiiñ
magar beTā to beTā thā
so kahtī thiiñ bahū jab ghar meñ lā.ūñgī
phaTeñgī tab tirī āñhkeñ
chaḌhāvā jab chaḌhā.ūñgī
vo is par kuchh na kahtā thā
vo un donoñ se vaise baat yuuñ bhī
kam hī kartā thā
vo ammī aur māmūñ ke liye lahore to jāatā
magar dīñ-dār logoñ se
use raġhbat na hotī thī
aur un se bahs karne kī
kabhī himmat na hotī thī
ali-mohsin ke tīnoñ yaar umar, parkāsh aur safdar
baḌe hī bad-aqīda the
vo chāroñ saath jab parkāsh ke us flat meñ hote
kilifTan meñ jahāñ vo shyām, rabarT aur nazar ke saath rahtā thā
baḌe hī kaif meñ hote
vo saare mil ke jab phir biich baraurī kī chunīda lemuñ vaalī uuDkā
ke jaam bharte the
to apnī shaam ko ḳhush-gappiyoñ bad-feliyoñ ke naam karte the
umar, parkāsh, safdar aur ali-mohsin kā daftar ek hī thā
is liye vo piite piite mā.era ko yaad karte the
ka.ī sāloñ se vo bhī saath thī un ke
vo hafte bhar meñ har din ik na.ī ḳhushbū lagātī thī
baḌe dāñtoñ jhuke kāñdhoñ kī laḌkī
jis kī sab bāteñ nirālī thiiñ
aur āñhkeñ kitnī kaalī thiiñ
ali-mohsin kī āñhkeñ to nahī bāteñ nihāyat ḳhūbsūrat thiiñ
vo yāroñ ko batātā thā
ki vo daftar meñ aa.ī sab na.ī intarnz ke chakkar meñ rahtā hai
jo thoḌe din ko aatī thiiñ
qamīseñ jin kī ūñchī thiiñ
yā jin ke chaak nīche the
jo bichve aur pāzebeñ pahantī thiiñ
jo ḳhush hoñ yā na hoñ
ḳhush-hāl lagtī thiiñ
vo bātoñ kī anī se jab kisī intern ke dil meñ
bahut se nit-na.e aur pur-masarrat ḳhvāb botā thā
use ḳhud bhī zarā dhīmā sā aur maġhlūb sā ik ishq hotā thā
vo apne kaam meñ bhī musta.id thā
company ne us ko gaaḌī dī thī jis meñ dek lagā thā
aur kisī intern ko le kar vo us par ghūmtā rahtā
paThāne-ḳhān ko suntā musalsal jhūmtā rahtā
ali-mohsin police ke rokne ke vaqt se pahle
kaḌāhī khā ke aur yāroñ se ruḳhsat le ke apne ghar pahuñchtā thā
pahuñchte hī vo T.v par kisī channel se aatī
inDian picture lagātā thā
magar phir bhuul kar sab
māyera kī ḳhushbuoñ meñ Duub jāatā thā
ali-mohsin ke mamun luT ke ambaala se jab lahore aae the
kalam-e-pak alam aur sajda-gahen sath lae the
chunanche un ke ghar mein mustaqil duldul bhi palta tha
hamesha nau mohrram ko alam ghar se nikalta tha
har aashure ali-mohsin baDe mamun ke ghar lahore hota tha
wahin do chaar din ruk kar karachi jab wo aata tha
to beDin road ke amritsari halwai se ammi aur abba ke liye
laDDu bhi lata tha
ali-mohsin ke abba-ji baDe hi pak-tinat the
magar un ke pakhoDon aur kamar par mustaqil KHarish si rahti thi
ali-mohsin ki ammi kina-parwar thin
magar beTa to beTa tha
so kahti thin bahu jab ghar mein laungi
phaTengi tab teri aanhken
chaDhawa jab chaDhaungi
wo is par kuchh na kahta tha
wo un donon se waise baat yun bhi
kam hi karta tha
wo ammi aur mamun ke liye lahore to jaata
magar din-dar logon se
use raghbat na hoti thi
aur un se bahs karne ki
kabhi himmat na hoti thi
ali-mohsin ke tinon yar umar, parkash aur safdar
baDe hi bad-aqida the
wo chaaron sath jab parkash ke us flat mein hote
kilifTan mein jahan wo shyam, rabarT aur nazar ke sath rahta tha
baDe hi kaif mein hote
wo sare mil ke jab phir bich barauri ki chunida lemun wali uDka
ke jam bharte the
to apni sham ko KHush-gappiyon bad-feliyon ke nam karte the
umar, parkash, safdar aur ali-mohsin ka daftar ek hi tha
is liye wo pite pite maera ko yaad karte the
kai salon se wo bhi sath thi un ke
wo hafte bhar mein har din ek nai KHushbu lagati thi
baDe danton jhuke kandhon ki laDki
jis ki sab baaten nirali thin
aur aanhken kitni kali thin
ali-mohsin ki aanhken to nahi baaten nihayat KHubsurat thin
wo yaron ko batata tha
ki wo daftar mein aai sab nai intarnz ke chakkar mein rahta hai
jo thoDe din ko aati thin
qamisen jin ki unchi thin
ya jin ke chaak niche the
jo bichwe aur pazeben pahanti thin
jo KHush hon ya na hon
KHush-haal lagti thin
wo baaton ki ani se jab kisi intern ke dil mein
bahut se nit-nae aur pur-masarrat KHwab bota tha
use KHud bhi zara dhima sa aur maghlub sa ek ishq hota tha
wo apne kaam mein bhi mustaid tha
company ne us ko gaDi di thi jis mein dek laga tha
aur kisi intern ko le kar wo us par ghumta rahta
paThane-KHan ko sunta musalsal jhumta rahta
ali-mohsin police ke rokne ke waqt se pahle
kaDahi kha ke aur yaron se ruKHsat le ke apne ghar pahunchta tha
pahunchte hi wo Tw par kisi channel se aati
inDian picture lagata tha
magar phir bhul kar sab
mayera ki KHushbuon mein Dub jaata tha
- Book : ishq ki taqweem men (Pg. 150)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.