alif lafz o maani se mubarra
alif lafz o ma.ānī se mubarrā
alif tanhā.ī kā raushan hayūlā
alif āzād āvāzoñ ke shar se
alif be-bāk har aib o hunar se
alif takmīlī markaz kā muharrik
alif har lamhe ke siine meñ dhaḌkan
alif sadiyoñ ke sahrā par musallat
alif aabī na sīmābī tasalsul
tasalsul saañs kī zanjīr-e-āhañg
tasalsul ḳhvāb kī ta.abīr-e-be-rañg
tasalsul lafz kī tafsīr-e-farhañg
alif lafz o maani se mubarra
alif tanhai ka raushan hayula
alif aazad aawazon ke shar se
alif be-bak har aib o hunar se
alif takmili markaz ka muharrik
alif har lamhe ke sine mein dhaDkan
alif sadiyon ke sahra par musallat
alif aabi na simabi tasalsul
tasalsul sans ki zanjir-e-ahang
tasalsul KHwab ki tabir-e-be-rang
tasalsul lafz ki tafsir-e-farhang
- Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.