alif se ye tak
alif jo aalū khā.egā
vo moTā ho jā.egā
be bārish jab aatī hai
koyal shor machātī hai
pe paalī maiñ ne billī
chal dī chhoḌ ke vo dillī
te titlī hai zinda phuul
jo na maane nā-māqūl
Te TaTTū par chaḌh bhayyā
Dar mat aage baḌh bhayyā
se sābit hai ye laTTū
chunnū jā le aa paTTū
jiim maiñ juute khā.ūñgā
ro kar chup ho jā.ūñgā
che chunnū hai ik laḌkā
nanhā munnā chhoTā sā
he vo hā tū aayā hai
hiiñg aur paTTū laayā hai
ḳhe ḳhachchar maiñ lā.ūñgā
apne ghar meñ nachauñgā
daal na daal pakā ammī
barfī mujhe khilā ammī
Daal Darūñ maiñ bhālū se
maiñ nahīñ Dartā ḳhālū se
re ronā mujhe aatā hai
jab mirā bhayyā gaatā hai
siin sarautā lā ammī
mujh ko paan khilā ammī
bas bhaa.ī aage mat jā
ittī bas nazm na hogā
alif jo aalu khaega
wo moTa ho jaega
be barish jab aati hai
koyal shor machati hai
pe pali main ne billi
chal di chhoD ke wo dilli
te titli hai zinda phul
jo na mane na-maqul
Te TaTTu par chaDh bhayya
Dar mat aage baDh bhayya
se sabit hai ye laTTu
chunnu ja le aa paTTu
jim main jute khaunga
ro kar chup ho jaunga
che chunnu hai ek laDka
nanha munna chhoTa sa
he wo ha tu aaya hai
hing aur paTTu laya hai
KHe KHachchar main launga
apne ghar mein nachaunga
dal na dal paka ammi
barfi mujhe khila ammi
Dal Darun main bhaalu se
main nahin Darta KHalu se
re rona mujhe aata hai
jab mera bhayya gata hai
sin sarauta la ammi
mujh ko pan khila ammi
bas bhai aage mat ja
itti bas nazm na hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.