alif zabar a
bachche ne jis box meñ apne
nanhe-munne
khel-khilaunoñ kī jo duniyā basā rakkhī thī
mammy paapā ke hāthoñ vo ujaḌ ga.ī hai
mammy paapā ne kyā jaane
box meñ kyā kyā bhar rakkhā hai
ek baḌe se gate ke aage
box uThā.e
bachcha rotā chillātā hai
apne jaisā use banāne kī koshish kā
pahlā din hai
bachche ne jis box mein apne
nanhe-munne
khel-khilaunon ki jo duniya basa rakkhi thi
mammy papa ke hathon wo ujaD gai hai
mammy papa ne kya jaane
box mein kya kya bhar rakkha hai
ek baDe se gate ke aage
box uThae
bachcha rota chillata hai
apne jaisa use banane ki koshish ka
pahla din hai
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 47)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.