aligarh
aligarh hai yahāñ ai dost kyā paayā nahīñ jaatā
yahāñ vo kaun sā show hai jo dikhlāyā nahīñ jaatā
ye ilm-o-fan kā gahvāra hai tahzībī idāra hai
nazar meñ ye hamārī to siyāsat kā akhāḌā hai
har ik sho.abe meñ pāoge yahāñ tum pārTī-bāzī
yahāñ rahtī hai aapas meñ hamesha tarkī-o-tāzī
ḳhudā ke fazl se ahl-e-hunar haiñ ahl-e-fan sab haiñ
magar DeḌh iiñT kī masjid banāne meñ magan sab haiñ
yahāñ āsār baaqī haiñ abhī jagīr-dārī ke
muhāfiz paa.e jaate haiñ abhī sarmāya-dārī ke
ġhazab ke haiñ jo yahāñ ke inqilābī haiñ
yahāñ jo ishtirākī haiñ samajh lo bas kitābī haiñ
yahāñ maz.hab ke Thekedār bhī milte haiñ bahtere
yahāñ laTh-bāz-o-chāqū-mār bhī milte haiñ bahtere
aligarh ke kisī function meñ gar tashrīf le jaa.eñ
jo fiqre-bāziyāñ hoñgī na un se aap ghabrā.eñ
ḳhudā-na-ḳhvāsta ġhanDe lafañge aur na lachche haiñ
ye tālib-ilm collage ke sharīfoñ ke ye bachche haiñ
faqat qaumī rivāyat kā ye apnī paas rakhte haiñ
koī parvā na kiije ye faqat bakvās rakhte haiñ
har ik mahfil meñ hotī hai yahāñ hañgāma-ārā.ī
ki achchhe achchhe ilm-o-fan bante haiñ saudā.ī
yahāñ ahl-e-aligarh jo bhī sub.h-o-shām karte haiñ
baḌe laa.eq haiñ sir-sayyad kā ūñchā naam karte haiñ
yahāñ ki begameñ bhī ik nirālī shaan rakhtī haiñ
numūd-e-zāhiri kā har qadam par dhyān rakhtī haiñ
paḌhī-likkhī hoñ yā an-paḌh yahāñ donoñ barābar haiñ
jo mauzū-e-suḳhan suniye to kapḌe aur zevar haiñ
alāva is ke yā to naukaroñ par nauha-ḳhvānī hai
nahīñ to ġhībateñ haiñ shaiḳhiyāñ haiñ lan-tarānī hai
samājī mashġhaloñ meñ yā to haiñ shādī kī taqrībeñ
nahīñ to mahfil-e-mīlād vo majlis niyāz aur nazreñ
kahīñ hai ijtimā tablīġhiyoñ kā ek koThī meñ
to hai shī.oñ kī majlis aur raqā.im dūsre ghar meñ
zarā jo modern Thahrīñ vo haiñ filmoñ kī shaidā.ī
na.ī tasvīr jo aa.e to goyā in kī ban aa.e
aligarh hai yahan ai dost kya paya nahin jata
yahan wo kaun sa show hai jo dikhlaya nahin jata
ye ilm-o-fan ka gahwara hai tahzibi idara hai
nazar mein ye hamari to siyasat ka akhaDa hai
har ek shoabe mein paoge yahan tum parTi-bazi
yahan rahti hai aapas mein hamesha tarki-o-tazi
KHuda ke fazl se ahl-e-hunar hain ahl-e-fan sab hain
magar DeDh inT ki masjid banane mein magan sab hain
yahan aasar baqi hain abhi jagir-dari ke
muhafiz pae jate hain abhi sarmaya-dari ke
ghazab ke hain jo yahan ke inqilabi hain
yahan jo ishtiraki hain samajh lo bas kitabi hain
yahan mazhab ke Thekedar bhi milte hain bahtere
yahan laTh-baz-o-chaqu-mar bhi milte hain bahtere
aligarh ke kisi function mein gar tashrif le jaen
jo fiqre-baziyan hongi na un se aap ghabraen
KHuda-na-KHwasta ghanDe lafange aur na lachche hain
ye talib-ilm collage ke sharifon ke ye bachche hain
faqat qaumi riwayat ka ye apni pas rakhte hain
koi parwa na kije ye faqat bakwas rakhte hain
har ek mahfil mein hoti hai yahan hangama-arai
ki achchhe achchhe ilm-o-fan bante hain saudai
yahan ahl-e-aligarh jo bhi subh-o-sham karte hain
baDe laeq hain sir-sayyad ka uncha nam karte hain
yahan ki begamen bhi ek nirali shan rakhti hain
numud-e-zahiri ka har qadam par dhyan rakhti hain
paDhi-likkhi hon ya an-paDh yahan donon barabar hain
jo mauzu-e-suKHan suniye to kapDe aur zewar hain
alawa is ke ya to naukaron par nauha-KHwani hai
nahin to ghibaten hain shaiKHiyan hain lan-tarani hai
samaji mashghalon mein ya to hain shadi ki taqriben
nahin to mahfil-e-milad wo majlis niyaz aur nazren
kahin hai ijtima tablighiyon ka ek koThi mein
to hai shion ki majlis aur raqaim dusre ghar mein
zara jo modern Thahrin wo hain filmon ki shaidai
nai taswir jo aae to goya in ki ban aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.