ali-bin-muttaqi roya
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
alī-bin-muttaqī masjid ke mimbar par khaḌā
kuchh āyatoñ kā vird kartā thā
jum.a kā din thā
masjid kā sehn
allāh ke bandoñ se ḳhālī thā
ye pahlā din thā masjid meñ koī aabid nahīñ aayā
alī-bin-muttaqī royā
muqaddas āyatoñ ko maḳhmalīñ juz-dān meñ rakkhā
imam-e-dil-giraftā
nīche mimbar se utar aayā
ḳhalā meñ duur tak dekhā
fazā meñ har taraf phailī huī thī
dhund kī kaa.ī
huā phir yuuñ
muñDeroñ gumbadoñ par an-ginat par phaḌ phaḌā.e
kāsnī kaale kabūtar
sehn meñ nīche utar aa.e
vazū ke vāste rakkhe hue loToñ par
ik ik kar ke aa baiThe
imam-e-dil-giraftā
phir se mimbar par chaḌhā
juz-dān ko kholā
safoñ par ik nazar Daalī
ye pahlā din thā masjid meñ
vazū kā hauz ḳhālī thā
safeñ ma.amūr thiiñ sārī!
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
ali-bin-muttaqi masjid ke mimbar par khaDa
kuchh aayaton ka wird karta tha
juma ka din tha
masjid ka sehn
allah ke bandon se KHali tha
ye pahla din tha masjid mein koi aabid nahin aaya
ali-bin-muttaqi roya
muqaddas aayaton ko maKHmalin juz-dan mein rakkha
imam-e-dil-girafta
niche mimbar se utar aaya
KHala mein dur tak dekha
faza mein har taraf phaili hui thi
dhund ki kai
hua phir yun
munDeron gumbadon par an-ginat par phaD phaDae
kasni kale kabutar
sehn mein niche utar aae
wazu ke waste rakkhe hue loTon par
ek ek kar ke aa baiThe
imam-e-dil-girafta
phir se mimbar par chaDha
juz-dan ko khola
safon par ek nazar Dali
ye pahla din tha masjid mein
wazu ka hauz KHali tha
safen mamur thin sari!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.