alkubDe
ye sat-māhe
maañ ke ḳhālī peT ke vīrāne meñ karāhe
nañgoñ, bhūkoñ, bhik-mangoñ ne
apnī sadā suhāgan line aur baḌhā dī
vo e.azāz diyā
ek jagah mustaqil banā dī
un kī ḳhamīda pusht
apne kohān se
muḌī kamān thī
jis kī bad-sūrat parchhā.īñ
ḳhatt-e-falak par daaġh kāḌhtī thī
niile rañg afsurda lagte the
un ke baap purāne ghaag
baḌe jalālī bhik-mange the
saare kāsa-lesoñ par
kuchh aisī dhāk....!
vo un kī āvāz suneñ
to rasta chhoḌ deñ
aur gale meñ aisī taan.....!
jo pankaj kī kharaj bhulā de
(ajab zamāna thā
jo europe ke gulzāroñ meñ
akhve phūTte the
tab bañgāl ke aur punjab ke
lash lash karte khetoñ meñ
dhaan aur gandum ke ḳhoshe
murjhāne lagte the)
is pas-e-manzar meñ
baap kī mustaqbil-andeshī ne
tiin baras kī lunj-munj sī
chiiz ke donoñ haat
chaT chaT toḌ ke
ek ek kuhnī aur banā dī thī
chār-dāñg meñ shohrat phail ga.ī
''pardā....
....pardā
chaar kuhniyoñ vaale
rām-charan alkubḌe aate haiñ''
is āvāz ne
itne itvāroñ kī ḳhāmoshī toḌī thī
jin kā hisāb nahīñ
ye kachhve kī
ulTī piiTh aisī
taḳhtī kī kashtī meñ
pairoñ ke patvār chalāte
humak humak andar aate
aur chiqoñ ke paas pahuñch kar
taam chīnī bartanoñ se
chapar chapar khāne khāte
aur daadī jaan ke saa.e se
sahj sahj bāteñ karte jaate the
sola saal yahī ma.amūl rahā
dildārī aur shikam-purī kā yahī usuul rahā
ek shaam abhāgan aa.ī
ye nahīñ aa.e
koī sītlā Daa.in aa.ī
ye nahīñ aa.e
baḌī DhuñDayyā paḌī
udāsī phail ga.ī
ammī jaan aur daadī jaan ne
paise bhej ke
jalvāne kā band-o-bast kiyā
to jal kar bhasm hue
par un kī muqaddas raakh aaj bhī
merī ruuh meñ uḌtī hai
''pardā....
....pardā
chaar kuhniyoñ vaale
rām-charan alkubḌe aate haiñ''
ye sat-mahe
man ke KHali peT ke virane mein karahe
nangon, bhukon, bhik-mangon ne
apni sada suhagan line aur baDha di
wo eazaz diya
ek jagah mustaqil bana di
un ki KHamida pusht
apne kohan se
muDi kaman thi
jis ki bad-surat parchhain
KHatt-e-falak par dagh kaDhti thi
nile rang afsurda lagte the
un ke bap purane ghag
baDe jalali bhik-mange the
sare kasa-leson par
kuchh aisi dhak!
wo un ki aawaz sunen
to rasta chhoD den
aur gale mein aisi tan!
jo pankaj ki kharaj bhula de
(ajab zamana tha
jo europe ke gulzaron mein
akhwe phuTte the
tab bangal ke aur punjab ke
lash lash karte kheton mein
dhan aur gandum ke KHoshe
murjhane lagte the)
is pas-e-manzar mein
bap ki mustaqbil-andeshi ne
tin baras ki lunj-munj si
chiz ke donon hat
chaT chaT toD ke
ek ek kuhni aur bana di thi
chaar-dang mein shohrat phail gai
parda
parda
chaar kuhniyon wale
ram-charan alkubDe aate hain
is aawaz ne
itne itwaron ki KHamoshi toDi thi
jin ka hisab nahin
ye kachhwe ki
ulTi piTh aisi
taKHti ki kashti mein
pairon ke patwar chalate
humak humak andar aate
aur chiqon ke pas pahunch kar
tam chini bartanon se
chapar chapar khane khate
aur dadi jaan ke sae se
sahj sahj baaten karte jate the
sola sal yahi mamul raha
dildari aur shikam-puri ka yahi usul raha
ek sham abhagan aai
ye nahin aae
koi sitla Dain aai
ye nahin aae
baDi DhunDayya paDi
udasi phail gai
ammi jaan aur dadi jaan ne
paise bhej ke
jalwane ka band-o-bast kiya
to jal kar bhasm hue
par un ki muqaddas rakh aaj bhi
meri ruh mein uDti hai
parda
parda
chaar kuhniyon wale
ram-charan alkubDe aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.