allah allah subhan-allah
har sū haiñ ishāre rahmat ke
kasrat meñ nazāre vahdat ke
kahte haiñ karishme qudrat ke
allāh allāh sub.hān-allāh
har saañs meñ hai bū-bās tirī
har dil ko lagī hai aas tirī
bande ko ġhulāmī raas tirī
allāh allāh sub.hān-allāh
nahīñ koī havas mujhe bas tū hai
titlī ko phuul kā ras tū hai
nas nas jaane nas nas tū hai
allāh allāh sub.hān-allāh
in hāthoñ meñ nuur kā parcham de
mire ilm ko vus.at-e-ālam de
tujhe koī kamī hai jo tū kam de
allāh allāh sub.hān-allāh
tirī chaukhaT aa.uuñ jā.ūñ maiñ
tire aage sar ko jhukā.ūñ maiñ
din-rāt yahī dohrā.ūñ maiñ
allāh allāh sub.hān-allāh
har su hain ishaare rahmat ke
kasrat mein nazare wahdat ke
kahte hain karishme qudrat ke
allah allah subhan-allah
har sans mein hai bu-bas teri
har dil ko lagi hai aas teri
bande ko ghulami ras teri
allah allah subhan-allah
nahin koi hawas mujhe bas tu hai
titli ko phul ka ras tu hai
nas nas jaane nas nas tu hai
allah allah subhan-allah
in hathon mein nur ka parcham de
mere ilm ko wusat-e-alam de
tujhe koi kami hai jo tu kam de
allah allah subhan-allah
teri chaukhaT aaun jaun main
tere aage sar ko jhukaun main
din-raat yahi dohraun main
allah allah subhan-allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.