allah ke nam se
ḳhudā raam hai aur ḳhudā īshvar
vo bhagvān hai kul jahāñ us kā ghar
usī kā karam aur usī kī dayā
ye maktab ye ta.alīm kā hausla
kitāboñ meñ vo kār-ḳhānoñ meñ vo
zamīñ hī nahīñ āsmānoñ meñ vo
usī kī navāzish kā iz.hār haiñ
jo sar-sabz-o-shādāb ashjār haiñ
usī kī ināyat chaman rang-o-bū
mohabbat masarrat ḳhushī justujū
burā.ī se ham ko bachā.e vahī
añdhere meñ rasta dikhā.e vahī
vo rahmān hai aur vahī hai rahīm
gunahgār ke haq meñ rabb-e-karīm
KHuda ram hai aur KHuda ishwar
wo bhagwan hai kul jahan us ka ghar
usi ka karam aur usi ki daya
ye maktab ye talim ka hausla
kitabon mein wo kar-KHanon mein wo
zamin hi nahin aasmanon mein wo
usi ki nawazish ka izhaar hain
jo sar-sabz-o-shadab ashjar hain
usi ki inayat chaman rang-o-bu
mohabbat masarrat KHushi justuju
burai se hum ko bachae wahi
andhere mein rasta dikhae wahi
wo rahman hai aur wahi hai rahim
gunahgar ke haq mein rabb-e-karim
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.