allama iqbaal
bātoñ meñ thī dalīl havāla suḳhan meñ thā
tū thā to guftugū kā mazā anjuman meñ thā
qur.ān kī fazā meñ palā thā tirā shu.ūr
islām kā mizāj tire bāñkpan meñ thā
dil-dāda-e-ulūm-e-farangī thā dil tirā
lekin ḳhayāl ḳhitta-e-arz-e-vatan meñ thā
jahl-e-ḳhizāñ kā daur guloñ se thā duur duur
jab tak tirā vajūd fazā-e-chaman meñ thā
likhī vo dāstān-e-ġham-e-dajla-o-furāt
chakkhā vo zā.iqa bhī jo gang-o-jaman meñ thā
saarā simaT ke aa gayā tere kalām meñ
jitnā bhī husn lāla-o-sarv-o-saman meñ thā
ab is se baḌh ke bas meñ tire thā bhī kuchh nahīñ
millat ko de diyā vo lahū jo badan meñ thā
rāh-e-amal dikhātā rahā qaum ko magar
tū mutma.in thā dil tirā ranj-o-mehan meñ thā
har dam madīna-o-najaf-o-karbalā kī fikr
terā kahāñ javāb mohabbat ke fan meñ thā
baaton mein thi dalil hawala suKHan mein tha
tu tha to guftugu ka maza anjuman mein tha
quran ki faza mein pala tha tera shuur
islam ka mizaj tere bankpan mein tha
dil-dada-e-ulum-e-farangi tha dil tera
lekin KHayal KHitta-e-arz-e-watan mein tha
jahl-e-KHizan ka daur gulon se tha dur dur
jab tak tera wajud faza-e-chaman mein tha
likhi wo dastan-e-gham-e-dajla-o-furaat
chakkha wo zaiqa bhi jo gang-o-jaman mein tha
sara simaT ke aa gaya tere kalam mein
jitna bhi husn lala-o-sarw-o-saman mein tha
ab is se baDh ke bas mein tere tha bhi kuchh nahin
millat ko de diya wo lahu jo badan mein tha
rah-e-amal dikhata raha qaum ko magar
tu mutmain tha dil tera ranj-o-mehan mein tha
har dam madina-o-najaf-o-karbala ki fikr
tera kahan jawab mohabbat ke fan mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.