allahabadi ki nakaami ki aaKHiri nazm
Interesting Fact
1969
aag kī ik do lakīreñ
chhe lakīreñ das lakīreñ
haath kī maujoñ se milne jā rahī haiñ
haath kī maujoñ meñ marne jā rahī haiñ
ghar basānā khel kaisā ḳhud-kushī hai
ghar kī naddī meñ nahāne kā amal ik sar-kashī hai
baaġh meñ nange qadam chalnā sharārat kī ḳhushī hai
be-vaqūfī bevafā.ī
āj-kal ik baañs par chaḌh kar
sitāre khā rahī hai
bhuul jaao
kaun tum ho
kaun maiñ huuñ
kaun vo thā
kyūñki afsānoñ se rang-e-dostī tabdīl hogā
chāñd kaT kar sub.h ke tan par giregā
aur sūraj shaam ke māthe kī nam Tikiyā banegā
aaj tum us ghar ke darvāze pe likh do
vo salāhuddīn
jo 'parvez' bhī hai
aaj jantā se aligarh jā rahā hai
aag ki ek do lakiren
chhe lakiren das lakiren
hath ki maujon se milne ja rahi hain
hath ki maujon mein marne ja rahi hain
ghar basana khel kaisa KHud-kushi hai
ghar ki naddi mein nahane ka amal ek sar-kashi hai
bagh mein nange qadam chalna shararat ki KHushi hai
be-waqufi bewafai
aaj-kal ek bans par chaDh kar
sitare kha rahi hai
bhul jao
kaun tum ho
kaun main hun
kaun wo tha
kyunki afsanon se rang-e-dosti tabdil hoga
chand kaT kar subh ke tan par girega
aur suraj sham ke mathe ki nam Tikiya banega
aaj tum us ghar ke darwaze pe likh do
wo salahuddin
jo 'parwez' bhi hai
aaj janta se aligarh ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.