alwidai bosa
Interesting Fact
Dedicated to his beloved mother
sulagte sahrā ke jab safar par
maiñ ghar se niklā
to merī maañ ne
yuuñ mere māthe pe hoñT rakkhe the
us ne aise diyā thā bosa
ki mere saare badan meñ jis ne
mahak meñ Duubā
dhanak sā rangīn pyaar amrit sā bhar diyā thā
mujhe jo sarshār kar gayā thā
fazā meñ ḳhāmosh sī duā se
ajiib sā rang bhar diyā thā
ajab ḳhushī thī ajiib dukh thā
ki tapte sahrā kī ret jaise the hoñT us ke
aur us kī āñkheñ sulag rahī thiiñ
laboñ pe chup aur kalām kartī sī guftugū thī
mujhe thā mālūm aur use bhī
ki duur hote hī TuuT jā.eñge band saare
ki zabt ke ye kaḌe sahāre
na rok pā.eñge ḳhushk āñkhoñ kī bārishoñ ko
vo bāt-be-bāt ro paḌegī
merī maañ
sulagte sahra ke jab safar par
main ghar se nikla
to meri man ne
yun mere mathe pe honT rakkhe the
us ne aise diya tha bosa
ki mere sare badan mein jis ne
mahak mein Duba
dhanak sa rangin pyar amrit sa bhar diya tha
mujhe jo sarshaar kar gaya tha
faza mein KHamosh si dua se
ajib sa rang bhar diya tha
ajab KHushi thi ajib dukh tha
ki tapte sahra ki ret jaise the honT us ke
aur us ki aankhen sulag rahi thin
labon pe chup aur kalam karti si guftugu thi
mujhe tha malum aur use bhi
ki dur hote hi TuT jaenge band sare
ki zabt ke ye kaDe sahaare
na rok paenge KHushk aankhon ki barishon ko
wo baat-be-baat ro paDegi
meri man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.